अंतरजाल की दुनिया और जीवन में मोहित शर्मा 'ज़हन' के बिखरे रत्नों में से कुछ...

Wednesday, June 20, 2012

The Comical Cricket

Year July 2007 (RC Forums, RFN and RC Homepage)

HEROES V/S VILLIANS

CRICKET MATCH :idea: 

 

COMMENTATORS :arrow: SEBBY,YODDHA.

HEROES SIDE :arrow:

COACH - ADRAK CHACHA

1- NAGRAJ

2- DHRUV

3- DOGA

4- PARMANU

5- SUPER INDIAN

6- BHOKAL

7- KOBI

8- INS. STEEL

9- SHAKTI

10- TIRANGA

11- ANTHONY

12th MAN- AGHORI

VILLIANS SIDE :arrow:

COACH- GURUDEV

1- NAGPAASHA

2- WONDERWOMAN

3- PRINCIPAL

4- BAUNA VAMAN

5- BHANJAA

6- MECHANIC

7- KAAL PAHAILIYA

8- TANTANA

9- KAFAN

10- MAHAMANAV

11- PROFESSOR ENVIRO

12th MAN- BIG BOSS

GROUND UMPIRES -

DEV KAALJAYI, GARALGANT.

THIRD UMPIRE-PROBOT.

TO TAYAAR HO JAIYE ISS ANOKHEY TAKRAAV KAY LIYE. :D


ISS MATCH KA KOI REFREE NAHI AUR STAND BY UMPIRES BHI NAHI HAI AUR SABHI SIDE CHARACTERS AUR SIDE VILLIANS AUDIENCE MAI MAUJOOD HAI.ISS MATCH KA MAKSAD HAI "RAJCOMICS KI POPULARITY BADHANA", IN SHORT "KUCH NAHI".
----------------------------------------------------------
The Comical Cricket (Part 1 of 6)


Toss hua aur batting mili Heroes side ko.

KAAL PAHAILIYA - Kya hua Guru dev, aapne to kaha tha ki Toss mai jo sikka isteymaal hoga wo machini hai aur usse uchalne par sirf "Head" aayega....phir hume batting kyu nahi mili ?

GURUDEV - Ye gadha "Nagpasha" toss jeet kar itna khush ho gaya jaise match jeet liya aur un Heroes ko keh diya ki jao "Batting tumhe di."

Wahi Heroes kay dressing room mey. -

DOGA- Arre koi iss Super Indian ko batting par bhej do.

ADRAK CHACHA- Haan, opening kay liye Super Indian accha rahega,accha idea socha Doga.

DOGA- Maine kuch nahi socha.....jabse batting mili hai, tabse kaan kha rakhe hai isney, "Chacha-chacha mujhe batting karni hai."

Match Shuru hua. -

YODDHA- Aap sabhi darshako ka swagat hai.....

SEBBY - Ham hay Sebby aur aye hay Yoddha,Nagpusha toss jeetkar bowling karne ko kaha.......

YODDHA- Srimaan Nagpasha ka nirnay vivadaspad lag raha hai.Paari ka udghatan Ins. Steel Mahoday aur yuva pratibha shrimaan Super Indian karengey.Bowling kar rahi hai Shushri Wonderwoman.

Ins. Steel pehli ball ko markar daud pada par aadhi pitch par jakar hi tukdo mai bikhar kar gir gaya,bowling kar rahi wonderwoman nay usse runout kar diya.

UMPIRE DEV KAALJAYI - Iss kabaad ko uttha kar le jao,par runout to wonderwoman nay kiya hai sab "Mechanik" Ko kyu shabashi de rahe hai. :shock:

Ins. Steel ko batoor ne may kaafi samay laga jiss kaaran
Villians team nay agle batsman ko "TIME OUT" karne ki appeal ki.

Heroes dressing room -

TIRANGA - Agla batsman to Doga tha naa,sab mujhe kyu dekh rahe ho.............nahi aisa mat karo, Bhagwaan kay liye mujhe jaane do.

Aur iss tarah Tiranga bina khele hi "Time Out" ghoshit kar diye gaye.
Agle batsman aa rahe hai...................Harpaal

DOGA- Harpaal............ :shock: ..........Huh

Aur ye Harpaal nay sweep kar diya char run kay liye Heroes ka khata khula. Harpaal bahut Pratibhavaan lagte hai.

DOGA (Bat fenk kar) - Sanjay ji..............mujhe gussa aa raha hai.

SANJAY GUPTA - Hota hai Doga, naya writer hai, adjust kar lo.

DOGA - Naya writer hai to kya naam bhi nahi jaanta........"Harpaal", tabhi mai aapko "jalti nazro se dekhta hu" (Green Page quote "Mai Doga ko jalti nazaro se dekhta hun")...soch samajh kay naye log rakha kariye, meri bhi koi image hai.

Super Indian ko strike mili aur pehli ball ko nudge karne kay harsh mai unhone super jump Laga di, aur flood lights mai faas gaye,nateja unke hawa mai rehne kay kaaran unhe runout ghoshit kiya gaya.

Ab 3 down par aaye Kobi pehli ball face karne.

Bhanja ball karate hue........ball Kobi kay pads par laagi Bhanja ki zoordaar appeal........

BHANJA - OUT HAI UMPIREEEEEEEEEEEEEEE,
HOWAZZATTTTTTT UMPIREEEEEEE!!

Aur ye kya Kobi nay itihaas rach diya, aap khud hi suniye aur dekhiye...........

KOBI- NOT OUT HAI UMPIREEEEEEEEEEEEEEEEE
NOT HOWZZATTTTTT UMPIREEEEEEEEEE!!


Iss tarah kisi batsman nay pehli baar "Not out" ki appeal karke itihaas rach diya hai,Umpire ko Kobi ki appeal kuch zyada hi pasand aa gayi aur unhe not out karaar diya gaya. Kobi aur Doga ki Jodi jam gayi aur unhone Heroes team kay score ko 50 run tak pahunchaya. Unki sajhedaari ko toodne kay liye Kaal Pahailiya ko bulaya gaya.Kaal pahailiya nay parchi mai lapetkar Doga ki aur kuch fainka. Doga nay parchi padhi.

"Doge, Tujhme hai akal kam,
Iss parchi kay saath tha Bomb."

DOGA - Kaalu, ye kaisi paheli hai jawaab bhi issi parchi mai likh diya, bahut unprofessional ho gaye ho tum! Bhak!!

Tabhi Doga kay paas wahi bomb fatta,

BADDDAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAM!!!

Aur Doga ghayal (Retired hurt) ho gaya.

Jaate-Jaate Doga, Kaal pahailiya se -

DOGA - Mai tumhare bomb se "UDD" chukka hu par aage se dhyaan rakhna, ye unprofessional ravaiya mujhe bilkul pasand nahi wo bhi mere villain ka. Waise hi writer nay mood kharab kar diya hai. Chalo bhai uttha le chalo.uttha kar dhyaan se............dhyaan se.

Doga kay baad ab Nagraj aaya, Kaal pahailiya nay unpar bhi parchi lapetkar kuch fainka, Nagraj adrashya ho gaya.

NAGRAJ - Mai tumhare bomb se bach gaya.

KAAL PAHAILIYA- Wo bomb nahi ball thi, peeche mudkar dekho tum clean bowled ho gaye.

KOBI- Arre! kisne captain banaya tha isey?

Iss tarah heroes team 60 run par 4 wickets kho chuki thi aur Doga retired hurt ho chuke thay.

Ab maidaan mai aaye Parmanu. Kobi aur Parmanu ki jodi bhi tik kar khelne lagi.
The Comical Cricket (Part 2 of 6)


PARMANU NAY SUSTATE HUEY PRINCIPAL KI TARAF SHOT KHELA,

NAGPASHA - "Arre Principal dekh Parmanu run le raha hai....."

PRINCIPAL- Chinta mat karo, isse to mai neend mai bhi out kar dunga......issi ki wagah se to neend nahi aati.

PRINCIPAL NAY SATEEK THROW KIYA, SABKO YAKEEN THA PARMANU OUT HO CHUKA HAI.......PAR DEV KAALJAYI NAY THIRD UMPIRE KO REFER KIYA. AUR "GREEN LIGHT" NAY PARMANU KO JEEVAN DAAN DIYA.

PRINCIPAL-Satyanaash! Third Umpire to Probot hai.

BAUNA VAMAN - Ummm aaaahuhu! mai nahi khelta.......cheating!

GARALGANT- Ruko mai sab theek kar dunga.

Agli ball par "Garalgant" nay Parmanu ko out ghoshit kar diya.

PARMANU - Par maine kya kiya ?

GARALGANT - Tumne obstruct kiya hai fielder aur bowler ko,"obstructing the field, Out."

PARMANU - Par kaise,mai kisi fielder kay raaste mai nahi aaya.

GARALGANT - Tumne jo saans li,uske "molecules" se hawa kay atoms mai disturbance paida ho gaya,iss wagah se fielder ka raasta ruka.Nahi samajh mai aaya naa.......Jao Probot se jakar samajhna.

SEBBY - Heroes team kay 5 wickets ghus chuka hay 90 Runs payy, ab aa raha hay........Bhuchaal....

YODDHA -.......Bhokal.......Vikasnagar kay rakshak.

SEBBY - Bhoolaal nay aakar chuaka maara........

YODDHA - Aur khushi mey wo apne aabhushan maidaan mey khade shetrarakshako mai baant rahe hai..........


KAALPAHAILIYA - Hey...loot lo......Raja Bhokal ki jai!! Baaki koi out ho jaaye par inhe out mat karna. Inhe looli-pooli ball karvao.

Wahi dressing room mey, INS. STEEL DOBARA JUDD CHUKA THA.

PROF. ANEES - Dekho Ins. Steel, mai tumhe 536 baar jood chuka hu,
Iss baar agar tum tute to tumhare tukdo ko "villians museum" mai baich dunga.

SEBBY - Aur ab Bhopal ko bowling karane aa rahe hai khud Kaalpahailiya....

KAAL PAHAILIYA - Lijiye maharaj......ghuma kay maariye.....

UMPIRE GARALGANT - "Underarm bowling" allowed nahi hai.

KAAL PAHAILIYA - Haan, to "No baal" bol do naa.....Maharaj ye kya ghuma kay maariye dariye mat koi catch nahi karega. Aisa kijiye aap hi fielders ki position set kar dijiye.

BHOKAL- Haan, ye theek hai....sab jan baith jaiye.

UMPIRE GARALGANT - Lekin........

KAAL PAHAILIYA - Tumse kaha naa ki "No ball" bol dena, dekhte nahi Maharaj khel rahe hai. Iss baar mujhe wo kada de dijiye maharaj.

SEBBY - Mahalala Bhopal apne ornaments distribute karte hue, aur maidaan mai aa rahe hai Ins. steel.

INS. STEEL - Bhokal, you are under arrest.

KAAL PAHAILIYA - Underarrest!! :shock: apna underwear sambhaal kar baat karo. Kya kiya hai humare Maharaj nay ?

INS. STEEL-Bhokal public mai "matchfixing" kar rahe hai......aap sabhi fielders ko bhi arrest karu kya ?

KAAL PAHAILIYA - Kya.....nahi.....nahi......Aye! Bhokal sharam kar sharam kar.....Besharam...hum sharifo ko bhi bigaad raha hai. Le jao isse Inspector!

BHOKAL BHI JAA CHUKE THAY.......AB MAIDAAN MEY UTRE DHRUV.

The Comical Cricket (Part 3 of 6)


Kobi - Dhruv tum apni mundi jhuka kar kyu aa rahe ho....kuch shame-shame waala kaam kar diya kya ?

Dhruv - Nahi, Kobi, ek stand mey Natasha baithi hai, doosre mey Richa aur saamne commentary box mey Sebby hai. Ground mey aate waqt jiss taraf bhi dekhunga to baaki sides se bottles aur kya pata bombs ki barsaat ground par hi naa honay lage.

Dhruv nay ball ko gap mey place kiya aur daud laga di.....doosra run poora karne kay saath hi.

Dhruv - Oofff....hafff...Paani....paani....koi paani laao....glucose mila hua laana.

Kobi - Dhruv, ek baat batao. :evil:

Dhruv - Haan, puchho.

Kobi - Tumhari saari energy tumhare dimaag mey chali jaati hai kya ?

12th Man Aghori Dhruv kay liye paani lekar aaya.

Dhruv - Mommy...Bhoot.....ye kiski side waala 12 man aa gaya.

Thak kar chuur ho chuka Dhruv behosh ho gaya usse bahar le jaaya gaya. Turant hi Shakti maidaan mey agli ballebazin kay roop mey aa gayi.

Shakti nay aate hi shots ki barsaat kar di aur uski running between the wickets ke to kya kehne Replay mey 1 hi second mey wo dono taraf dikh rahi thi par Kobi itni jaldi strike change nahi kar paa raha tha.

Kobi - Shakti......fooooff....ram....aaram se daudo....average ki chinta mat karo mai hun naa.....aur runs to utne hi gine jaayenge naa jitni baar hum dono strike change karenge....arre koi paani bhejo.....Aghori nahi.....koi aur bhejiyo.

Shakti - Mai aisa karti hun ki pehle mai khud doosri side par pahunchti hun phir tumhe utthakar side paar karva deti hun. Mujhe ye sab karne mey 1 second ka kuch hi hissa lagega.

Kobi Shakti ki iss baat par raazi ho gaya aur Shakti jaldi jaldi score ko badhane lagi.

Kobi- Aaram se.....gudgudi kyun kar rahi ho......pait se haath to hatao....tumhare baal naak mey ghus rahe hain....aaiii....mera pair....mera pair ghisat raha hai.........

Kobi kay shareer ki badbu se Shakti ko nasha chadne laga aur ek cheenk kay saath hi Kobi ko toofani gati se lekar daudti Shakti beech pitch par gir padi.

Kobi- Udhar....udhar throw karo....Bauna Vaman...meri fifty hone waali hai.


Jaldi se score ko badha rahi Shakti hi khatra lag rahi thi Vilians ko isliye Shakti ko hi runout kiya gaya.

Abhi din nahi dhala tha isliye maidaan par Anthony ki jagah King aaya.
Umpires nay nirdesh diye ki King ek bachcha thaisliye bowlers King ko under arm aur dheemi gati se bowling karenge.

Bhanja- Ye kaun sa family bussiness chal raha hai yahan....Bachche se batting karva lo aur Nana se fielding....wo to udd udd kay aur teleport hokay fielding karega....kaash humse bhi koi shaadi kar leti to humare potey bhi khelte. :roll:

Strike Kobi ko mili aur usne ball Nagpasha ki taraf nudge ki....aur har baar ki tarah Nagpasha nay misfielding ki jis kaaran Kobi ki fifty poori ho gayi aur wo stands mey baithey Fujo Baba aur Bheriya ko chhidane laga.

Kobi- Ye..fifty poori.....oye.....Phat De Chadde....Bheriya ye le le :P ....

King- :shock: Uncle, "Phat de Chadde" nahi "Chak de Phhate" bolte hain.

Kobi- Oh....Sorry!

The Comical Cricket (Part 4 of 6)


Kobi ki merathon paari aur Shakti kay shaandaar prayaaso se Super Heroes ka score 138 Runs tak pahunch chuka tha. Ab King bhi apne johar dikha raha tha aur runs mey badhotri kar raha tha. King ka strike rate aur Runs Kobi se zyada naa ho jaayein isliye Kobi doosre chhor se King ka bahut hi kum saath de raha tha.

King - Uncle, daudiye naa....aur aap har over ki last ball par hi kyu run lete hai ?

Kobi - Beta, iske baad koi batting karne nahi aayega sab ya to out ho chukein hai ya retired hurt....aaram se khelo....abhi to sirf 20 Overs huey hain....30 Overs bache hai. Sensible Cricket is the need of the hour.

King - Oh! OK, Uncle. :shock:

Ye aakhri wicket ki partnership issi tarah aage badhti rahi.

Kafan - Mai jaanta hun ki ye one day match hai par koi Paari ghoshit karva do mai 1 mahine tak apradh nahi karunga.

Nagpasha - Tumhara apradh? Uss se koi fark thode hi padega....5-10 bachcho ki lollipop, chocolates chhin ney se bach jaayengi...bas.

Score ab 200 runs ho chuka tha aur Villians kheme ki chinta badhti jaa rahi thi.

Tantana - Mai King ko toffees, phal....aur naa jaane kitne laalach de chukan hun. Ye kuch sunta hi nahi....upar se gussa dikha raha hai.

Bhanjaa - Dekho baat kya hai ki iska jo Nana hai naa usney parampara chala rakhi hai phoolo kay alawa naa koi gift dena hai naa lena hai aur jo iska gussa aur irritation hai wo to over the years "Crow Music" sun sunkar develop hua hai.

Kobi, 99 Runs bana chuka tha aur Chak De Phhate ko mann hi mann bolne ki practice kar raha tha taaki Bheriya aur Fujo Baba ko achchi tarah chhida sake.

Kobi nay apni Century poori karne kay liye aaram se ek shot khela par tabhi wo gusse se pitch chhodkar Ground ki boundary ki taraf daudne laga.....aur usko Professor Enviro dwara aaram se run out kar diya gaya. Sab Kobi kay iss vyavhaar se achambhit thay ki wo apni Century poori karne ki bajaye darshako mey baithey Bheriya ki taraf kyu badh raha tha.

Kobi sab se bekhabar gusse se daant peesta hua boundary laangh kar Bheriya tak pahunctha hai aur usse apne Bat se usse marne lagta hai aur saath hi Bheriya ko kossna to jaari tha hi.

Kobi - #$!@#$@!$#@%%$.......Bheriye.....mera matlab Kuttey....mai wahan itni mehnat kar raha hun aur tu yaha aaram se Jane ki pappiyan le raha hai....chhod ye popcorn aur cold drinks....mey waha khelun aur tu inki aad mey yahan kisi doosre hi khel ko khel raha hai...Tere keede pade...tabhi mai kahun jab Fujo Budde tudde nay team mey khelne kay liye meri jagah teri sifarish ki to tune mana kyu kar diya...pucchiyaan jo leni thi bhaijaan ko. Par jab mere paas Gada hai to mai tujhe itni dair se Bat se kyu maar raha hun aur tu bhi dard honay ka natak kar raha hai ki mai apni divya gada ka aavahan naa karun....Hey Bheriya Devta madad....haan ab gada padne se teri dard se constitute genuine cheekhein nikalengi.

Fujo Baba - Kobi, Ruk jaao.

Kobi - Chup reh Budde Tudde..tu bhi maze le raha tha hain...Daant to tere jhadd gaye itna maarunga ki aant bhi mooh tak aa jayengi...rook nahi sakta tha inhe....zyada maza aa raha tha kya. Tu hi keh raha tha naa ki Bheriya, Kobi ki tulna mey zyada sanjeedgi se khelega isliye usse hi Heroes ki team mey hona chahiye...dekh liya ye kaun sa khel kitni sanjeedgi se khel raha tha!


Fujo aur Bheriya ki pitaai jaari thi. Heroes ki poori paari 208 Runs par samapt ho gayi. Abhi unke 7 wickets hi gire thay par Doga, Dhruv, batting karne ki sthiti mey nahi thay aur Bhokal Rajnagar Police Station mey apne Abhushan baantkar riha honay ki kosish kar rahe thay.

Jane ki taraf palta Kobi.

Kobi- Jane :cry: :evil: Maine tumhe kya samjha aur tum...... aur jab mai Bheriya kay baare mey baat karta tha to kehti thi ki "We are just good friends." Humse bhi kar leti aisi friendship. Yaha itni bheed mey......aur mujhe to akele mey bhi kabhi puchchi nahi di. :cry:

Tabhi,

"Chhan se jo toota koi sapna......
....Jag suna suna laage......Jag suna suna laage re....."

Kobi - Mohit, aur koi character nahi mil raha hai kya.....achchha...ye gaana to band karo.....dekho mere alawa sab ro rahein hai.

Comical Cricket (Part 5 of 6)


Villians ki paari ki shuruat hui. Batting karte waqt ghayal heroes ki haalat ab sudhar chuki thi aur wo fielding karne aa chuke thay, Jail mey bandh Bhokal ko chhodkar. Mahamanav aur Tantana opening kay liye maidaan kay beech mey aa chuke thay. Shakti ki toofani veg se aati inning ki pehli hi gaind Mahamanav kay sar par lagi. Mahamanav tunakkar sabhi Heroes kay dimaag mey telepathy se gaali dene laga.

"Kamino....kuttto...tum sab haar jaaoge."

Kobi - Andar se kaisi aawaz aa rahi hai? Kya ghus gaya mere andar.....buddhe tudda meri maar se mar to nahi gaya kahin ? :roll:

Mahamanav ki aawaz phir Kobi kay andar gunji.

"Bhootni kay!"

Kobi - Kaun hai be, Pretni kay ?

Mahamanav Kobi ka jawab sunkar aage koi gaali dene ki himaat nahi karta hai.

Strike Tantana ko milti hai aur wo Shakti ki lagatar 4 balls par sixer jadd deta hai. Ye dekhkar Shakti pareshaan ho gayi.

Kobi - Maine suna tha koi bahut bolta rehta tha "Nirbhay ho jaao." :P image

Phir Shakti nay gusse mey ball ko bahut tez veg se fainka aur hawa kay itne zyada garshan se ball garam ho gayi aur Tantana kay rubber jaise lachile shareer ko chhed kar wicket udda diye. Tantana Clean Bowled ho gaya.

Shakti (Kobi ki taraf dekhte huey) - Maine suna hai ki koi "Hey Bheirya Devta, Madad" bolkar bhi apni girlfriend tak ko nahi bacha paata. :P image

Tantana - Haay! maar daala, Pehle bata deti to Hit wicket ho jaata kum se kum itna dard to naa hota.

Idhar Inspector Steel, Mahamanav kay paas pahunch jaata hai.

Inspector Steel - Mahamanav, You are under arrest.

Doga - Yaar, iss Steel ko koi bimaari hai kya ?

Mahamanav - Kyu, maine kisi ko kuch kaha thode hi hai jo mai arrest kay andar ho jaaun ?

Inspector Steel - Tumne telepathy technique se sabhi players ko gaali di hai mere yantro nay tumhe trace kar liya hai.

Tantana aur Mahamanav eksaath maidaan se rukhsat huey. Unki jagah aaye Mechanik aur Kafan.

Doga - Arre, Shakti, zara sunna.

Shakti - Haan, kaho.

Doga - Idhar ki fielding bhi kar do.

Shakti - Par udhar to tum log lage ho.

Kobi - Speed itni tez hai par nakhre tab bhi dikhaane hai....mai to pehle hi keh raha tha Doga ye maanegi nahi.....Hey Bhagwan.....team spirit to hai hi nahi iss ladki mey.

Kafan nay ball ko Nagraj ki taraf place kiya par Kobi aur Doga ki baaton se josh mey aa gayi Shakti nay tezi se ball ko utthakar 1 second kay 1000ve hisse mey dono wickets se gilliyon ko udda diya. Tab tak dono Batsmen ek doosre ko cross nahi kar paaye thay wo dono beech pitch par ek hi jagah par thay isliye umpire ko dono ko out dena pada.

Mechanik - Inspector Steel, Tiranga, kay villian hone kay yahi side effects hai. Khud to wo nikamme hai hi humey bhi unki wajah se kahin footage nahi milti. image

Kafan - Ek Minute, Umpire.

Umpire Garalgant - Haan, Kafan, bolo.

Kafan - Mai jo sher likh kar laaya tha wo to mai sunakar hi jaaunga.

Villians Team kay 27 runs par 3 wickets gir chuke thay aur Mahamanav, Bhokal ki tarah 'Arrest Out' ho chuke thay. kuch minutes baad.

Maidaan par ek baar phir 2 naye batsmen Kaal Pahailiya aur Bhanja kay roop mey eksaath aaye.

Kaal Pahailiya ko Doga kay naye over ka saamna karna tha.

Kaal Pahailiya - Aaja mujhe out kar le....thainga le le. :P

Doga ball karta hai aur Kaal Pahailiya poori shakti se bat ghuma deta hai. Bat aur ball ka sampark hota hai par wo chhota aur halka bat rooke nahi rukta hai aur Kaal Pahaliya Bat leke wickets mey ghus gaya...unko Hit wicket out diya gaya.

Kaal Pahailiya - Ek minute......ye saajish hai, Umpire......mujhe jaanboojh kar Bauna Vaman ka chhota, halka, Bat diya gaya hai....mere out honay ka shrey Doga ko bilkul nahi milna chahiye.

The Comical Cricket (Part 6 of 6)


Ab Kaal Phailiya ki jagah aate hai Villians Team kay catpain, Nagpasha. Strike Bhanja ko milti hai.

Raat honay par King ki jagah Anthony wicket keeper kay roop mey khada tha.

Bhanja - Door reh mujhse, Badbudaar shaitan.....paas aaya to Balla ghuma kay maarunga. Umpire iske kauve ko pinjre mey bandh karva do....flood light par iss taak mey baitha hai ki Bowler ball karaye aur wo mere mooh pey jhapatta maar de.

Match mey badha naa pade isliye Prince ko khud Anthony hi pinjre mey bandh kar deta hai.

Prince (Anthony se) - Iss baar jaiyo kabr mey....phir naa bulane ka mai tujhe. :evil:

Bhanja Kobi ki agli ball par ek unncha shot maarta hai aur ball bilkul seedhi bahut unnchai par pahunch jaati hai.

Sabhi Heroes aur Shakti eksaath kehte hai.

"Kobi out karo Bhanja ko."

Kobi ball par se dhyaan hatakar Bhanja ko pooch se utthakar maidaan kay bahar uchaal deta hai.

Kobi - Lo, ho gaya wo 'Out' aur sab kehtein hai ki Kobi kisi ki sunta nahi....ab khush?

Bhanja ki kaafi dair tak koi khabar nahi aati. Isliye ab maidaan mey Professor Enviro aata hai.

Nagpasha aur Professor Enviro bahut hi dheemi gati se run banate hai aur 19 overs mey Villians team apne 50 runs poore karti hai.

Nagpasha - Enviro, zordaar baarish kar do...Match raddh ho jaayega....phir hum kal ek nayi shuruat karenge.

Professor Enviro - Mai bhi yahi baat kab se keh raha tha.

Enviro maidaan par toofani musladhaar barsaat karva deta hai.

Professor Enviro - Ha ha ha...mujhe koi nahi rook saktaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhh!

Enviro apne hi toofaan mey udd jaata hai. Maidaan se paani sukhane mey samay lag jaata hai aur kaafi samay barbaad ho jaata hai. Jis wajah se ab Vilians kay lakshya ko 'Duckworth Lewis' padhati se revise kiya jaata hai jo ab 150 runs tha. Ab Villians ko 5 Overs mey 100 Runs banane thay. Tantana, Kaalpahailiya, Mechanik, Kafan kay roop mey unke 4 wickets gir chuke thay aur Mahmanav, Enviro aur Bhanja ab waapsi ki sthiti mey nahi thay.

Ab maidaan par utarta hai Principal.

Idhar Vilians kay Pavallion mey.

Big Boss (12th man) - Mai to jaa raha hun, Vaman, tum bhi chalo.

Bauna Vaman - Kyu, abhi to hum log jeet saktein hai.

Big Boss - Jaanta hai ye log abhi tak kyu khel rahein hai ?

Bauna Vaman - Nahi...Kyu ?

Dekho ye Nagpasha, Gurudev aur Principal itne dheet villians hai ki jab tak inki bhhat nahi pit ti aur mooh pe thhapad, ghunse, laat nahi bajte tab tak inhe asli haar ki feeling hi nahi aati hai. Nagpasha nay Duckworth Lewis lagva di.....ab kuch nahi ho sakta. Wo dekh Kobi boundary kay paas khada hokar hume chhidane kay liye fans se "Phat De Chadde!" kay posters banva raha hai.

Big Boss kay saath Bauna Vaman nay beizzati se bachne kay liye palayan behtar samjha. Villians ekadash ka ek player baithe bithaye kum ho gaya tha. Ab bas Wonderwoman bachi thi.

Principal aur Nagpasha apni team ki dasha dekhkar vichlit nahi huey aur dono Nagraj aur Dhruv kay 2 Overs mey lagatar 12 chhake maare. Jis se unko 72 runs miley.

Commando Force aur Nagdweep se aaye praniyon nay stadium khaali kar diya. Kareem ki khusfusahat par Kaaldoot bhi raazi huey.

Kaaldoot - Sahi baat hai, Kareem! Ab har jagah Anupam ji thode hi aayenge in dono kay liye. Bhaag lo kahin bheed inka badla hum sab par na nikale.

Ab Villians ko jeet kay liye 3 Overs mey 28 runs chahiye thay. Phir Principal nay Parmanu kay over mey bhi lagtaar 4 chhake maare. Ab Villians ko 15 balls par sirf 4 runs chahiye thay.

Parmanu - Ye dono Yuvraj Singh kay relation mey aate hain kya ?

Anthony - Bhai, tu apni belt Anadi ko daan kar de. :evil:

Kobi (Boundary paar maujood fans se) - Arre, suno. Ye posters chhupa lo kahi Villians hi hume chhidane naa lag jaayein.

Parmanu agli ball karvata hai. Tiranga aakash mey ek santulit koond (angle) se flair chhodta hai. Flair ki chamak Principal kay takle sar se reflect hoti hai aur Nagpasha ko theek ball khelte waqt distract kar deti hai. Nagpasha Clean Bowled ho jaata hai. Sabhi Tiranga ko shabashi dene lagte hai. Tabhi Inspector Steel heroes ko ek taraf hata deta hai.

Doga - Lo, pad gaya daura bimaar ko.

Inspector Steel - You are under arrest, Tiranga ?

Parmanu - Yahan Cricket chal raha hai inn bhaijaan ka saath-saath mey pakdam pakdai ka khel alag chal raha hai. Ab iski wajah bhi bata do.

Inspector Steel - Tiranga apne flair se sthaniye Police ko bulata hai...aur mujhe pata chal raha hai ki Tiranga kay flair signal ki wagah se paas kay Police thane se kuch police waale apna important Ludo ka game chhodkar aayein hai jisme wahan bache munshi nay ab tak cheating kar li hogi.

Nagraj - O my God! ye tumne kya kar diya Tiranga. Arrest him, Inspector.

Ab maidaan mey aati hai Vilians ki aakhri bachi hui Batswomen, Wonderwoman.

Wonderwoman - Aise kyu ghur rahe ho, Kobi, log kya kahenge ?

Kobi - Hum to aapko nazro se salaam hai dete,
Ghurne ki aukat hai kya...log to bhare stadium mey paapiyan tak hai le lete.

Wonderwoman - image image image

Wonderwoman aate hi Kobi ki taraf shot uchhalti hai jisse Kobi jaan boojh kar chhod deta hai aur iska faayda utthakar Principal aur Wonderwoman 3 runs le lete hain aur dono teams ka score barabar ho jaata hai.

Dhruv - Ye kya kiya Kobi, pagal....catch chhod diya.

Kobi - Pyaar ki raah par chalne waale hamesha diwane kehlaaye,
Ek catch chhodne par dutkarte ho zalim,
Tab to tumne shabashi nahi di thi jab humne team kay 208 mey se 99 runs banaye.

Wonderwoman - Subhanallah. :D

Ab Kobi ka over aata hai. Wonderwoman uska saamna kar rahi hoti hai. Villians ko jeet kay liye 2 Overs mey keval 1 run chahiye tha aur Heroes ko 1 wicket ki darkaar thi.

Wonderwoman - Teri bholi baaton mey apne aap beh jaati hun,
Tune pyaar mey mera catch chhoda....O diwane, le tere pyaar mey mai khud hi 'Hit wicket' ho jaati hun. Wonderwoman nay bade pyaar se balla wickets par maarkar khud ko 'hit wicket' out kar liya.

Kobi - Chalo Rani apne pyaar kay afsaane banaye,
Sabse pehle chalkar Buddhe Tudde, Bheriya aur Jane ko jalaye.

Iss tarah ye Heroes aur Villians kay beech hua ye etihaasik match barabari (Tie) par chhuta. Kobi ko unke "bahumukhi" pradarshan kay liye Man of the match ka award mila.

.........Kahani Khatm, 25 Rupaye huey Bau ji!

No comments:

Post a Comment