अंतरजाल की दुनिया और जीवन में मोहित शर्मा 'ज़हन' के बिखरे रत्नों में से कुछ...

Wednesday, June 20, 2012

Har Har Yamune (Gamraj)

Har Har Yamune (RC Forums and Website, Year 2008)

Mumbai mey drugs aur nashile padartho ka chalan tez ho gaya tha. Gamraj zehar kay iss karobaar ka jab bhi Mumbai se safaya karta ye kuch samay baad phir se panapne lagta. Gamraj samajh chuka tha ki jab tak iss zehar kay samrajya ki jadd ko nasht nahi kiya jaayega tab tak ye aise hi baar baar panapta rahega.

Wo inn nashile padartho kay mool ka pata lagate huey pahunchta hai Delhi kay paas Yamuna kay kinare ek sunsaan elake mey. Waha usse nashile padarth bana rahe ek sangathit giroh ka pata chalta hai jo waha jarjar awastha mey bane khandaro ka isteymaal nashile padarth banane mey kar raha tha. Gamraj Police kay saath waha par chhapa maarta hai par giroh kay sadasyo ki sankhya bahut zyada hoti hai isliye Gamraj ko Yamunda ka sahara lena padta hai. Yamunda aakar sabhi hathiyarbandh apradhiyo ko sabak seekhata hai. Iss beech bahut saa nashila padarth paas hi beh rahi Yamuna nadi mey beh jaata hai.

Yamuna ji apni divya drishti se unke andar itna saara nashila padarth bahane waale ko dekhti hai to unhe Yamunda dikhai deta hai. Wo Yamunda ko dandit karne ki thaan leti hai. Wo sakshaat prakat hokar Yamunda ki jamkar pitai karti hai aur usse waapas yamlok bhej deti hai aur uske prithvi par aane par pabandi laga deti hai. Issi beech jab Gamraj aur Yamunda Yamuna ji se unke iss gusse ka kaaran poochte hai.To wo batati hai ki "Kaliyug kay manavo ko to paap karne ki aadat hai aur unke dwara gandagi failaye jaane ki ab mai aadi ho chuki hun, par Yamunda to mera apna hai kyoki mai Yamraj ki behan hun aur Yamunda unke vahan Vrashabhraj ka putra hai, iss kaaran uska apradh shhama karne yogya nahi hai."

Yamunda apne swami Gamraj kay bina Yamlok ko apne sar par uttha leta hai aur waha bandi bani aatmao, Yamduto aur yaha tak ki Yamraj ko apni zidd se pareshan kar deta hai. Gamraj ab bhi prithvi par logo kay dukho ko Yamunda kay bina kum karne ki kosish karne laga. Halaki, anginat rupayo kay karobaar ko khatm karne kay liye Bharat sarkar nay Gamraj ko kai crore rupaye aur unn khandaro ki zameen inaam mey di thi par Gamraj ko ye sab bekar lag raha tha.

Nashe ka karobaar phir se Mumbai aur poore desh mey parvaan chaddne laga. Nashe kay saudagaro nay apne liye upyukt bahut se naye sthaan chun liye thay aur waha par bade paimane par nashile padarth ban rahe thay. Yamunda kay bina Gamraj unn apradhiyo ka theek se saamna nahi kar pa raha tha. Gamraj apni banayi yojna kay tehat Shankalu ko unn apradhiyo mey mila deta hai. Shankalu ki madad se Gamraj kai nashile padartho kay utpadan mey lagi ikaiyo ki khabar police tak pahunchakar bandh karvata hai aur unse judde apradhiyo ko giraftaar karvata hai. Idhar Shankalu nashe kay karobaar kay beech rehne kay karan nashili cheezon kay seevan ki lath lag jati hai aur Gamraj ek baar phir nashe kay khilaaf apni desh vyapi ladai mey akela pad jaata hai. Shankalu ki haalat kay liye Gamraj swayam ko hi zimmedar maanta hai kyoki ussi nay Shankalu ko unn apradhiyo kay beech bheja tha.

Yamunda ko paane ki kosish kay tehat Shankalu kay bachcho ki parvarish kay saath saath, Gamraj sarkar dwara di gayi zameen par inaam mey mili dhan rashi se unn khandaro mey bade starr par 'River Water Recycling Plant' ka nirmaan karvata hai. Lekin uske iss prayaas mey nashe kay sargana adchane daalte hai, yaha tak ki Shankalu bhi nashe ka ghulam hokar apne guru Gamraj ka dushman ban jaata hai. Aakhirkaar Gamraj apne prayaaso se safal ho jaata hai. Yamuna ji Yamunda kay swami yaani Gamraj kay iss swarthheen prayaas se khush hokar Yamunda ko wapas prithvi par aane ki anumati de deti hai. Yamunda kay saath milkar Gamraj jald hi nashile padartho ko banane aur inki taskari mey lage kai mukhya apradhiyo ko sazaa dilvata hai. Ab bhi Gamraj ki ek bahut badi niji samasya bachi thi.

Shankalu ab tak poori tarah se nashe ki giraft mey aa chuka tha. Uski adat se pareshaan hokar Gamraj apne muh bole pita Yamraj ki madad se natak rachta hai ki Shankalu atyadhik nashe kay seevan se marr gaya hai aur Yamdoot usse yamlok lekar aa gaye hai. Jaha Yamraj usse dikhate hai ki uski iss buri aadat se uski jaan chali gayi aur iss kaaran uska parivaar musibato se ghir gaya hai. Gamraj, Yamunda aur poori Kurla basti bhi shok mey doobi hai. Ye sab dekhkar Shankalu Yamraj kay samne gidgidata hai, vinti karta hai ki usse sudharne ka ek mauka aur milna chahiye. Wo kasam khaata hai ki wo ab se kisi bhi nashile padarth ka seevan nahi karega. Yamraj apni maya se usse waapas prithvi par bhejne ka natak karte hai. Shankalu iss maya ko samajh nahi paata aur isse sach maan kar bhavishya mey kisi bhi prakar ka nasha karne se tauba kar leta hai. Iss tarah Gamraj nay nashe kay virrudh apni iss jung mey jeet haasil kar li.
 
The End!

No comments:

Post a Comment