अंतरजाल की दुनिया और जीवन में मोहित शर्मा 'ज़हन' के बिखरे रत्नों में से कुछ...

Wednesday, June 20, 2012

Multi-Toading! [Fighter Toads & Inspector Steel]

Originally posted on RC Forums and Website (Year - 2007)



Fighter Toads kay shehar mey aatanki gatividhiyaan badh rahi thi. Fighter Toads badi taadad mey hathiyaar bandh aatankiyon ka saamna dhang se aur poori tarah nahi kar paa rahe thay aur aaye din aam janta ko bahut nuksaan pahunch raha tha. Upar se kisi insaan ki jaan naa lene ki Fighter Toads ki kasam bhi unke kaam mey aade aa rahi thi. Iss kaaran Rajapur ab aatankvaadiyon ka gadh banta jaa raha tha. Inn sab ghatnaao se pareshaan hokar Fighter Toads nay Toad dev se guhaar lagai ki unko paanchve (fifth)  toad ki zarurat hai jo unn charo se takatvar ho aur aise aatankiyon se ladne kay liye achche hathiyaar rakhta ho taaki apradh ki bhaavna rakhne waale logo kay dilo mey darr baith jaaye.

Toads nay ek maang aur thi ki agar desh ki suraksha ko khatra ho to uss paanchve toad ko aise apradhiyon ki hatya karne ka bhi adhikaar ho.Toad Dev unki baat par vichaar karke apna nirnay lene ki baat keh kar antardhyaan ho jaate hai. Idhar apne shehar se aatankvaadiyon ka peecha karte huey Inspector Steel Rajapur pahunchta hai. Waha wo kai aatankiyon ko giraftaar karke Rajapur kay Jail mey daal deta hai. Par ab tak Rajapur aatankiyon se bhar chuka tha jo usse gher kar uske sar pey vaar karte hai aur Inspector Steel nishkriya ho jaata hai.Usse mara hua samajh kar aatankvaadi usse gutter mey faink dete hain. Inspector Steel ka bhaari shareer Toad Nivas ko thoda shatigrast kar deta hai aur Toads, Inspector Steel ki iss "sewer todd" entry aur uske deel dool ko dekh kar samajhte hai ki Toad Dev nay unka paanchva saathi bhej diya hai.Computerr, Inspector Steel kay shareer ko analyse karta hai aur uski kamiya door karta hai par phir bhi wo nishkriye rehta hai kyoki uski batteries nasht ho gayi thi. Tab Computerr Uski battery kay vikalp kaytaur par gobar aur sever gas ka isteymaal karta hai. 


Ab Inspector Steel ko charge karne kay liye "Power Chair" ki jagah "Sewer Chair" par baithaya jaata aur usse energy milti hai sewer mey aane waale"padhartho" se iss alternative energy se wo pehle se bhi zyada taakatvar ho jaata hai.Halaki,Computerr nay Inspector Steel ki saari machini gadbadiyaan theek kar di thi par uske insaani mastiksh par lage aaghaat kay kaaran Inspector Steel ki yaddasht chali gayi thi aur wo Toads ki kahi baatonkay anusaar khud ko unka paanchva saathi maan ney laga aur unhi ki tarah hasya aur anadi jeevanshaili jeene laga. Fighter Toads nay apne naye, sabse bade aur takatvar saathi ka naam uske roop kay anusaar "Babbarr" rakha. Ab Rajapur kay apradhiyon ka safaya Babbarr bana Inspector Steel kar raha tha. Idhar Inspector Steel kay laapata hojaane se uska dost Anees pareshaan tha jo Inspector Steel kay Rajapur mey dekhe jaane ki khabar ko sunkar waha pahunch chuka tha. Toad Dev paanchva shaktishaali aur hathiyaaro se less Toad ko Rajapur bhejte hai jiske bholepan ka faayda utthakar Rajapur kay aatanki usse Toads tak pahunchne se pehle hi apne saath mila lete hai. Ab takraav hota hai Babbarr (Inspector Steel) ka aur aatankvaadiyon dwara gumraah huey paanche toad ka jiska naam unhone rakha tha "Aatankkarr".

Jisme Fighter Toads ki madad se Babbarr (Inspector Steel) jeet jaata hai par Aatankkarr faraar ho jaata hai. Inspector Steel ki yaaddast aakhirkaarAnees kay prayaaso se waapas aa jaati hai aur Aatankkarr ko bhi Toad Dev uski galati aur uss se huey nuksaan ko batate hai. Aatankkarr ko apni galati ka ehsaas hota hai aur wo Fighter Toads kay saath mil jaatahai. Ab Charo Toads, Inspector Steel, Aatankkarr, ye sabhi 6 Rajapur se aatank ka samool naash karne kay liye nikalte hain. Apne inn prayaaso mey Aatankkar apne hathiyaaro aur kaushal ki madad se aatankiyo kay mukhya thhikane ko khatm karne mey mahatvapoorna bhumika nibhata hai par iss beech aatanki Rajapur kay ek residential area par missile kahamla karte hai jisse Aatankkarr khud hawa mey hazaro meters ki jump laga kay aakash mey hi nasht kar deta hai.

(Note - Aatankkarr ki powers doosre toads se kaafi zyada hai.) Inspector Steel Rajapur mey apne mission (aatankvaad ka Rajapur se khatma) ki samapti par Toads ko dhayavaad dekar Anees kay saath unse vida leta hai aur Toads apne saathi ki kurbaani ko yaad karke usse prerna lete hai aur uski tarah desh ki seva karne ka apna prann dohrate hai.Toad Dev unke saamne phir se paanchva taod banane ka vikalp emergency mey hamesha khula rakhne ki baat kar antardhyaan ho jaate hai.

The End!

1 comment: