अंतरजाल की दुनिया और जीवन में मोहित शर्मा 'ज़हन' के बिखरे रत्नों में से कुछ...

Wednesday, June 20, 2012

Steel Reloaded / Inspector Defender

 

Story Attributes

Genre - Science Fiction
Characters - Inspector Steel
Other Villains - Xontrax Planet's Terrorists
Status - Complete
Year - 2008 (RC Forums)

Aaj to jaise saari duniya ki nazarein aakash ki aur jami hui thi kyoki Antriksh mey ek anokhi khagoliye ghatna ho rahi thi. Achanak se ek bahut bada ulka pinnd antriksh mey prakat hua jo ab tez gati se dharti ki taraf badh raha tha.

Kuch hi ghanto baad wo pinnd Prithvi se takrane waala tha. Sabhi desho kay pratinidhiyon ki aapatkaalin baithak hoti hai jisme sab milkar uss ulka pinnd ko antriksh mey hi nasht karne ki yojna banate hai.
Uss ulka pinnd par bahut se desh apne aadhunik astra chhodte hai. Par har Computer Guided Weapon aur missiles ki disha apne aap hi uss Ulka Pinnd se kuch kilometers ki doori par waapas dharti ki taraf mudd rahi thi. Matlab saaf tha ki uss ulka pinnd se koi ya kuch prani unki taraf badhte sabhi weapons ki Computer Programming badal rahe thay. Jis wajah se wo weapons waapas prithvi ki taraf mudd rahe thay.

Kisi aise weapon ki zaroorat thi jo itni doori par nirantar speed aur disha badalte huey uss ulka pinnd se takra sake. Koi insaani dimaag hi unn tak hamla kar sakta tha jispar wo door se prabhaav naa daal sake. Tab ek khaas antriksh yaan ko banaya jaata hai jo antriksh mey jaakar uss ulka pinnd ko pehle to apne  hamlo se kamzor kare aur phir uss ulka pinnd se takra kar usse khatm kar de. Lekin koi sadharan insaan itna sab nahi kar sakta tha.

Uss yaan kay controls sambhalne kay liye Inspector Steel ko chuna jaata hai kyoki uska mastiksh insaani tha. Ye ek aatmghati mission tha yaani iski safalta ya asafalta dono mey hi Steel ki jaan jaani thi. Lekin Inspector Steel duniya par aaye iss khatre ko mitaane kay liye tayyar ho gaya.

Steel antriksh mey uss Ulka Pinnd par zordaar hamla karta hai aur phir yaan kay saath uss se takra jaata hai. Ek zordaar dhamake kay saath wo Ulka Pinnd nasht ho jaata hai aur Steel bhi yaan samet gayab ho jaata hai. Duniya par mandrata khatra khatm ho jaata hai aur Sabhi desh Steel ko shaheed ka darja dete hai.
Kuch dino baad antriksh mey ek baar phir se waisa hi Ulka Pinnd dikhta hai aur  duniya bhar mey hadkamp mach jaata hai. Wo Ulka pinnd tezi se dharti ki taraf badh raha tha. Ek baar phir se usse rookne kay saare prayaas asafal ho gaye. Wo dharti kay kaafi paas aa gaya tha lekin achanak usme ek dhamaka hua aur wo Ulka Pinnd tukdo mey bikhar kar samapt ho gaya.

Kuch samay baad, Anees kay ghar par dastak hoti hai.

Anees - Kaun hai ?

"Anees mai hun."

Anees darwaza kholta hai.

Anees - A...Amar mere dost tum....tum zinda ho. Aur tumhara to roop hi badal gaya....tum to insaan ban gaye.

Amar - Insaan nahi...insaan jaisa....mai ab bhi cyborg hun.

Phir Inspector Steel yaani Amar, Anees ko Ulka Pinnd se takrane ki aur uske baad ki kahani sunata hai.
Amar batata hai ki jab iss Ulka Pinnd se pehle usse yaan kay saath antriksh mey bheja gaya tha to usne apne hamlo se uss Ulka Pinnd ko kamzor kar diya tha aur annt mey apna yaan lekar uss se takra gaya tha jiske baad huey dhamake kay baad wo ek anjaan jagah hosh mey aaya jahan wo bahut saare manav jaise lagne waale 2 Inches kay praniyon se ghira hua tha. Inspector Steel ko apne zinda honay par hairaani thi. Wo prani Inspector Steel kay dimaag mey saari jaankari bhar dete hai. Tab usse pata chalta hai ki ye chhote buddhijeevi prani apne grah 'Xontrax' se apradhik tatvo dwara bach kar aaye hai aur Brahmand mey apne liye anukool doosra thhikana dhoondte huey prithvi ki taraf badh rahe hotay hai.


Ye dharti vaasiyon kay saare prayaas asafal kar dete hai lekin Inspector Steel inke asthaai nivas Ulka Pinnd ko nasht kar deta hai tab ye apne aapatkaalin yaano se Mangal Grah yaani Mars kay jeevan kay liye kuch anukool elako par sharan lete hai. Inko rook sakne waale akele prani se prabhavit ho kar ye Steel kay lagbhag marre huey dimaag aur shatigrast shareer ko bhi ye surakshit apne saath le aate hai. Tab ye Steel kay dimaag ka vishleshan karte hai aur uski memory kay hisaab se apne planet kay wonder metal aur elements se ye Amar aur Inspector Steel ka mila jula roop dobara viksit kar dete hai jisme ye Amar ka dimaag transplant kar dete hai. Ab Cyborg Amar/Steel kay paas apne hathiyaaro kay saath saath nayi shaktiyan bhi hai jaise.

1) - Apne lagbhag 7 feet lambe shareer ko 2 inches waale chhote roopo mey badalne ki shamta. Yaani 42 chhote Inspector Steel.

2) - Paristhiti anusaar 'Liquid metal' mey badalne ki shamta.

3) - Ichchha anusaar kisi bhi doosre metal se apne shareer kay wonder metal se alloy banana aur uska isteymaal hathiyaar banane ya dushmano par karna.

4) - Ejectable explosives with limited range within his body. Wo isse last option kay taur par dushmano se bachne kay liye isteymaal kar sakta hai.

(Changes, and modifications in powers are welcome. Please visit Inspector Steel's Forum.)

Phir Steel inn saathiyon kay saath 'Xontrax' ki upadravi sarkaar se yuddh karta hai aur unhe hara deta hai. Lekin kuch upadravi 'Xontrax' se bach kar bhaag nikalte hai jo phir se ek Ulka Pinnd se prithvi par basne kay liye uski aur badh rahe thay jinka peecha kar raha Steel uss Ulka Pinnd ko nasht to kar deta hai lekin kuch upadravi 'Xontrax' vaasi prithvi kay vayu mandal mey pravesh karne mey kaamyab ho jaate hai. Ab Prithvi ko mil chuka hai ek naya rakshak Super-Cop Amar jiska naam rakha gaya Inspector Defender. Jo ab sirf Rajnagar ki hi nahi balki duniya ki bhi raksha karega aur saath hi duniya bhar mey unn dushman 'Xontrax' kay apradhiyon ko dhoond kar khatm karega.

 The End.

No comments:

Post a Comment