मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
Friends,
last couple of years se mai iss idea "मेरा Dimension, तेरे सर!" par ek
badi kahani likhne ki soch raha tha lekin doosri priorities ki wajah se
ye idea hamesha tal gayi thi. Ab mai ispar likhne waala hun. Khaas baat
ye hai ki ismey mera saath denge Snakemaster yaani Karan. Aap logo ko
comedy kay 2 flavors ek hi jagah milenge. Karan kay liye ye challenge
isliye hai kyoki unko maine kahani ka basic idea abhi haal hi mai bataya
tha aur unhone turant ispar likhne ki permission maangi.........phir
humne socha ki kyu na hum dono hi ispar collaborate karke likhe. Dekhte
hai iska kya result hota hai.
- TRENDSTER
- Moderator
- Posts: 9396
- Joined: 07 Dec 2006 11:28
- Location: Lucknow, Uttar Pradesh, India
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
waah babaji kya masti full ad hai hehehe.naye dimesion main snakes hissssssssssssssssssssssssssssssss,
mahila kahin dolly bindra toh nahi na
mahila kahin dolly bindra toh nahi na
- kingsatyam
- Elite Member
- Posts: 2296
- Joined: 28 Dec 2008 03:03
- Location: Kolkata (Calcutta), West Bengal, India
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
मेरा Dimension, तेरे सर! : Story Ad # 1 -
SSSSSSSSSSSiiissssssssssssssssssiiiSSSSSSSSSSSSSSSSSSiiissssssssssssssssssssiii.........
Tiranga : Savdhaan! Dhruva uss lagta hai uss Rishi kay shaap se humara dimension phir badal gaya hai. Yahan bhi andhera hai iss baar haath pakad kar rehna nahi to pehle waale dimension mey tum Ahmad Shah Abdali kay camps ki jagah Sitapur mey Chamunda Mata kay Mandir chale gaye thay phir hum logo ko poora ghoom kar "Gonda-Bahraich-Basti" waala route pakad kar aana pada. Ye kaisi aawaz aa rahi hai....kaan mey citi si to nahi baj rahi hai....tumhe bhi sunayi de rahi hai ye aawaz....

Dhruva : Haan, aawaz si to aa rahi hai. Haath pakde rehna, Bhai....lagta hai koi bada khatarnaak jeev so raha hai. Andhere mey kuch dikh bhi to nahi raha.
Tiranga : Mujhe to ye kisi bhayankar saanp ki aawaz lagti hai. Maine aaj tak apni crime fighting kay paise jod kar sirf ek movie CD laga kar dekhi thi "Anaconda"......usmey har samay aesi aawaz aati hai.

Dhruva : Oho! waisi aawaz to har pirated movie mey aati hai. Ye Nagraj ka bigda roop bhi ho sakta hai...kya pata kisi dimension mey villain ban gaya ho. Ya koi aur Ichchha-dhaari Saanp, jaise Nagdant bhi ho sakta hai.....
Tiranga : Huh! Arre, aese logo kay to mai yun hi saare dant tod dun....jo bhi ho humey dekhna hoga. Saavdhani se tum aage jao Dhruva, har dimension mey mai aage nahi jaunga.
Dhruva zameen par rengta hua aage badha aur kuch palo baad....
Ek Mahila Chillayi : AAAAAAAAAAAAAAAIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIII!!!...Chor...Chor...Daaku...Kachchha-Baniyan Giroh waale aa gaye....Aji sunte ho...Air Gun nikal lo, Sinku ki, iss baar pants kay upar kachchha pehan kar aaye hai!!!!
Tiranga : Kya ho gaya....ye to Barkha Dutt ki si aawaz lag rahi hai....TV chal raha hai kya....Dhruva tu aage hai, bata kya dekha?
Dhruva : Burrrrr...fooooffffff...AAAAAKKKKKK thuuuu...fafadfafafrrrrrr....khakhraaa...chipss...crunchyyy..krrrrrrr....Khurra is a good THS.....hrrrrrrr
Tiranga : Sahi se bata....Ye kaunsi power chhod di villain nay tujhpe...current to nahi lag gaya isko....O Dhruva....mere dost...tu zinda hai na.....
Dhruva : Kuttey! mai to zinda hun par tu mar jaayega...wo koi khatarnak jeev ya saanp nahi tha ek Aunty apne navjat bachche ko "SSSSSSSSiiissssssssiii...." ki aawaz nikal kar susu karva rahi thi aur andhere mey aage reng kar jab maine roshni mey apna muh uthaya to mere upar......
Tiranga :....uss navjat bachche ki susu ki dhaar aa gayi...Hai na!
Dhruva : Serious banne ka natak to kariyo mat mere saamne...Meri beizzati wala dialog poora karne ki badi mismisi chhuti rehti hai tujhe....O Aunty, darr kar mat bhaago...mujhe Tooth Paste, Listerine..Mouthwash 2 Gallons paani aur trunk cleaner de do....nahi to mere haatho aapke poore parivaar ka murder ho jaayega.
Mahila : Ye to dehaat elaka hai...yahan paani ki killat hai. 2 Maggha paani tha uss se abhi tumhare saamne Munnu ki dhulli-dhulli karva di. Ab paani Subah aayega...Daant, Muh to hum koyla laga kar saaf karte hai...jitna chahiye le lo....
Dhruva : Oh! Nahi!!!!!!!
Tiranga : Hey Bhagwan! Ab kya hoga Dhruva....ab kya karoge tum?
Gussey mey Dhruva nay Tiranga ko jakad liya.
Dhruva : Mai keh raha hun na aese serious ban ke, bholey question puchh kar mazey mat le...Aunty maine isko zameen par pakad rakha hai, ab kisi bachche ko susu aaye to jaise mere upar karaya tha waise hi iske upar "Dhaara-Dhaara, Shudh Dhaara" karva dena.
Mahila : Munnu meri godd mey aur baaki bachche to ab so gaye hai....Haan, mere unko raat mey jaane ki aadat hai...jab wo uthenge to unko keh dungi.....

TRENDSTER wrote:Dhruva : Burrrrr...fooooffffff...AAAAAKKKKKK thuuuu...fafadfafafrrrrrr....khakhraaa...chipss...crunchyyy..krrrrrrr....Khurra is a good THS.....hrrrrrrr
lol baba g this is dialog of the millennium
- bunty98
- Gold Scribe
- Posts: 7644
- Joined: 08 Nov 2006 01:24
- Location: Delhi, Delhi, India
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
LOLZZZ mohit baba....tiranga ki innocence vadi funny haigi hehe ab sanu vi gonda-behraich-basti route javenge hahaha
- haryana
- Gold Scribe
- Posts: 9981
- Joined: 08 Feb 2007 19:44
- Location: Gwalior, Madhya Pradesh, India
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
ha ha ha 3 din baad hassi aayi khair mazaa aa gaya isi khushi me ek parodi
kyun chalti hain pawan ?
Because of evaporation.
Kyun jhoome hain gagan ?
Because of earth's rotation.
Kyun machalta hain mann ?
Because of disorder in digestion.
Na Tum Jano Na Hum!!!
Kyun gum hain har disha ?
Because u have poor sense of direction.
Kyun hota hain nasha ?
Because of drug addiction.
Kyun aata hain mazaa ?
Because u enjoy the situation.
Na Tum Jano Na Hum!!!
Kyun aati hain bahar ?
Because of change in season.
Kyun hota hain karar ?
Because of taking tension.
Kyun hota hain pyaar ?
Because of opposite attraction.
Na Tum Jano Na Hum!!!
kyun chalti hain pawan ?
Because of evaporation.
Kyun jhoome hain gagan ?
Because of earth's rotation.
Kyun machalta hain mann ?
Because of disorder in digestion.
Na Tum Jano Na Hum!!!
Kyun gum hain har disha ?
Because u have poor sense of direction.
Kyun hota hain nasha ?
Because of drug addiction.
Kyun aata hain mazaa ?
Because u enjoy the situation.
Na Tum Jano Na Hum!!!
Kyun aati hain bahar ?
Because of change in season.
Kyun hota hain karar ?
Because of taking tension.
Kyun hota hain pyaar ?
Because of opposite attraction.
Na Tum Jano Na Hum!!!
- RISHAV11
- Elite Member
- Posts: 2315
- Joined: 23 Jun 2010 14:16
- Location: Ranchi, Jharkhand, India
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
Zabardast comedy hai Mohit bhai.
Ye wala dialog to ekdam bejod tha.Waise ismein sirf Tiranga-Dhruva ki hi mitti-paleed hogi ya baaki Heroes kka bhi kalyan hoga?
Hoping for the story to begin soon.
Haan, mere unko raat mey jaane ki aadat hai...jab wo uthenge to unko keh dungi.....
Ye wala dialog to ekdam bejod tha.Waise ismein sirf Tiranga-Dhruva ki hi mitti-paleed hogi ya baaki Heroes kka bhi kalyan hoga?
Hoping for the story to begin soon.
- Supi
- Senior Member
- Posts: 992
- Joined: 25 Nov 2006 19:18
- Location: Patna, Bihar, India
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
pet faadu comedy hai yar,jb teaser aisa hai to kahani kya hogi,haste haste maut ho jaegi bhiaya
- TAKER
- Gold Scribe
- Posts: 8503
- Joined: 13 May 2007 05:16
- Location: Lucknow, Uttar Pradesh, India
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
he he he kamal kar dita baba jaani.......................ab pta ni kis ka dimansion kiske sar fodoge he he
- shrivastava
- Senior Member
- Posts: 1220
- Joined: 22 Oct 2006 15:06
- Location: Morena, Madhya Pradesh, India
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
Baaki toh comedy theek hai Lekin kya iske liye Dhruva ke muhn par Susu karani jaroori thi.......Mohit Bhaiya.
- youdhveer
- Silver Scribe
- Posts: 6304
- Joined: 06 Apr 2010 11:00
- Location: Lucknow, Uttar Pradesh, India
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
Thank you, sab ko.
Ye to thoda edited version hai.....kyoki susu waali baat par kal hi
objection uth gaye thay RFN community mey. Waise susu to susu hota hai
par mujhe laga navjat bachche ka susu itna offending nahi hoga (likhte
waqt mujhe aesa laga). Ab apne Karanwa ka wait hai. Aao
Bhai...Ivanpreet....kuch humor ki preet karo.
- TRENDSTER
- Moderator
- Posts: 9396
- Joined: 07 Dec 2006 11:28
- Location: Lucknow, Uttar Pradesh, India
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
baba jab tak wo aata hai tum hi kuch likh maro
- TAKER
- Gold Scribe
- Posts: 8503
- Joined: 13 May 2007 05:16
- Location: Lucknow, Uttar Pradesh, India
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
मेरा Dimension, तेरे सर! : Story Ad # 2 -
HALLABOL....BHARRRRR....BHATT - BHATT - BHATT - BHATT....MAHESH - MUKESH - VIKRAM - POOJA.....JING/BLANG/JING/BING....BRRRRRRRRRRRRRRRRRRRR...HUUUUURrrrrrrrrrrrrrrrrrAAAAAA......
Nagraj - Kunal, uth kar dekhiyo to zara ki hum kis dimension mein aa gaye hain. Har taraf roshni ke dhamake fut rahe hain, cheekh - chidappa faila huya hai...Uff! Lagta hai goliyaan bhi chal rahi hain. Meri, to aankhein chundhiyan rahi hain. Mujhe apni godi mein chupa lo kahin pichli baar ki tarah hum, 'Jamaican Footballer Squad' ko unki Cheerleaders ka jhund samajh kar Chupan - Chupayi karne andar na ghus jaayein aur wo humara Dhakka - Mukki aur Kho - Kho na kar dein. Shayad kuch kuttey bhi bhaunk rahe hain.
Doga - Nagraj, lagta hai unhone ret ke inn dheron mein water missiles bhi chupa rakhin hain........Kuttey, accha to ye teri kartut hai. Municipality Vibhag ka khamba samajh kar mujh par hi dhaar ki barsaat kar di. Mere, saamne khade hokar, 'Hiss - Fuss' kar. Two - In - One karne ki badi khujli lagi rehti hai na, ab aage aa kar Solo ban. Tere paas to kaafi Alter Egos aur Identities hain, ab kar unka use....Dhvansak Sarp maar na zameen par, ret pighla na...Ya, Sheetnaagkumar ka use kar isse jama de....Tu to flagbearer hai na...Ab, jaa aage jaa kar RC ka jhanda foreign maayia mein pavesth kar ke, Swaragiya Jagran Hare The ban.....
Nagraj - Doga main aage chala to jaata lekin pichli kai dimensions mein villains se lad - lad kar meri Mahanagar waali laatein hi chali gayi hain. Aisa lag raha hai jaise kisi ne baans par kharbooja taang diya ho. Tumne to, "Nishachar" mein wo drum utha liya tha, mujhe bhi utha lo!!!!!!!
Doga - Kyun? Ab, Dhruva nahi hai chipkane ko, dono ne hairstyle bhi same - same design ke laga rakhe hain. Kaka, Dhruva, 'Genius' tha isiliye tera zeher pi kar Sri Devi - Devi ho gaya. Main, Genius nahi hun.
Nagraj - Doga apne Suraj ko mat jaagayo. Main maanta hun ki tum hi 450 kg ke faulad ho........
Bhau - Bhau...Gutur Goon....GRRRRRRRR....WUFFF - WUFFF....Kayaun - Kayaun............
Nagraj - .......doga, lagta hai aage chupe villains ne humpar doggy chod diye hain, dekhiyo kahin unke collars par bomb na bandhe hon....Apne, Kunal...Ahm! Apne, andar ke doggy ko haddi khila kar batayo Doga, kuttey kitni paas aa gaye?
Doga - Chad gayi na Nagu ki garmi tere dimaag pe...Ab sir pe baandh ke ghum Naagfani Sarp.....Jagmag Sarp chod na.......Fu - Fu kar ke chod Funkaar........Ab, Icchadhari kanon mein badalna band kar, ye to chote - chote puppy hain.
Nagaraj - Shukr hai tumne sahi time par bata diya main bhi apni Naagsena bulwane waala tha.
Doga - Mujhe aona grenade waste karne par majboor mat kar.
Nagraj - Doga inn puppyion ke thode se baal ukhaad lo, waapis apni dimension mein pahunch kar sabko dikha kar chidayenge ki hum yation ki sena se lad kar aaye hain.
Doga - Ab mujhe tumhara asli chehra dikh gaya, Nagraj!!!!!!!!!!!!!!
Nagraj - Mahanagar waala ya World Tour waala? Ek Narak Nashak Nagraj bhi hai...Wo, latest waala hai...........
Nagraj, puppiyon ke baal todne laga ki saamne se unki taraf shor - sharabe ki awazein aane lagin.
Doga - Hoshiyaar!!!!!!!!!Lagta hai hum Pakistan ya Afghanistan ki territory mein aa gaye hain. Saamne se suicide bombers ka jhund aata maloom ho raha hai. Offo!!!! inn puppys ke to daant bhi theek dhang se nahi uge. Nagraj ab tum hi kuch tandav karo.
Nagraj ki kenchuli utar gayi.
Doga - Beda Gark!!!!!!!!!!!!!!India ki North Territories ke aage to main aaj tak gaya nahi, warna Urdu ya Afghani bol kar hi samjha leta. Pakistan mein bhi Mohar Singh ko bhej diya tha...........YA ALLAH REHAM KAR, iske aage ka Adrak Chacha ke dua waale account se utha le.
Jhund thoda aur paas aa gaya.
Doga - Inke chehre safed lag rahe hain, beech - beech mein ek - do saavle bhi dikh rahe hain, height bhi choti hai kahin Soviet Russia ki dimension to nahi. Nagraj, tum to World Tour par jaate rehte ho, unhe kuch bol kar rukwayo............
Nagraj - SAAVDHAAN! MEIN KAMF......HAIL HITLER....CHAPPA CHAPPA CHARKHA CHALE....RUSSIA....BELARUS.....UKRAINE....KAZAKHSTAN.....KYRGYZSTAN....RAJASTHAN....HALLA BOL.....DHAN - DHANA - DHAN - DHAN - DHANA - DHAN - DHAN - DHANA - DHAN, BAJENGE DHOL.......KARTA JAA GOAL PE GOAL........................!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Doga apna khanjar utha kar Nagraj ke pet mein ghopne laga.
Nagraj - Ye kya kar rahe ho Doga?
Doga - Tere shalkon par Ajanta aur Ellora Caves ki khudai kar raha hun.
Wo jhund, Nagraj aur Doga ke saamne aa kar khada ho gaya.
Doga - Ye, to bacche hain.
Nagraj - Ye Raj Kids Series ke liye audition dene aaye hain kya?
"O Uncles! Hum yahan par shooting kar rahe hain aur aapne humara scene kharab kar diya. Ye, Ramsey Brothers ka set nahi hai!!!!"
Doga - Inki, shaklein to dekhi huyi lag rahe hain. Ye sab to Bollywood ke Superstars hain par inke kad chote kaise ho gaye. Kaun se protein ki kami ho gayi inn mein?
Nagraj - Doga, mujhe inn se introduce karayo na. World Tour ke kaaran main zadatar foreign filmon ke stars mein lokpriya hun.
Doga - Pooja Bhatt hai tu! Ye, Baby Sanjay Dutt hai aur saath mein Babys Sunil Shetty, Sunny Deol, Jackie Shroff, Akshay Khanna, Ajay Devgan, Kulbhushan Kharbanda, Abhishek Bachchan, Sanjay Kapoor, Saif Ali Khan, etc hain. Aur, wo jo side mein designer hairstyles mein khade lollipop munh mein daale khade hain wo Baby Sonu Nigam aur Baby Anu Mallik hain.
Nagraj - Doga wo kaala sa hubshi baccha kaun hai?
Doga - Accha, wo........Wo Baby Manoj Bajpayi hai.
Doga ke chup hote hi Baby Superstars ne naachna shuru kar diya.
Babies - Sandheshe Aate Hain, Hume Tadpate Hain......Ke Ghar Kab Aayoge!!!!!!!!...........Ke Tum Bin Ye Ghar....Soona - Soonaaaaaaaaaaaa.......................
Doga - SATYANASH! Hum J.P. Dutta ki dimension mein aa gaye hain jahan Ramsey Brothers jitna budget hone ke kaaran Bollywood ke sab Superstars, Baby bane shooting kar rahe hain....Mujhe to laga tha Anurag Kashyap ki koi Thriller mein na pahunch gaye hon............!!!!!!!!!!!!!!!!!!

- snakemaster
- Silver Scribe
- Posts: 3520
- Joined: 08 Oct 2006 07:59
- Location: Outside India, Ontario, Canada
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
ha ha ha mast hai bhai thora dimaag lagaana pada lekin accha laga baby stars he he he good ya !!!
- RISHAV11
- Elite Member
- Posts: 2315
- Joined: 23 Jun 2010 14:16
- Location: Ranchi, Jharkhand, India
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
Pata nahin mujhe Iss Snakemaster Bro ke
Dimension mein hasi nahin aayi...........Pehle toh mujhe kahani ko
samjhne mein dimaag lagana pada...........Phir kai chote-chote dialogue
main pehle bhi Heroes-harsh mein padh chuka hoon..........Shayad isliye
mujhe mazaa nahin aaya.........Comedy bahut kum lagi mujhe isme.
- youdhveer
- Silver Scribe
- Posts: 6304
- Joined: 06 Apr 2010 11:00
- Location: Lucknow, Uttar Pradesh, India
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
youdhveer wrote:Pata nahin mujhe Iss Snakemaster Bro ke Dimension mein hasi nahin aayi...........Pehle toh mujhe kahani ko samjhne mein dimaag lagana pada...........Phir kai chote-chote dialogue main pehle bhi Heroes-harsh mein padh chuka hoon..........Shayad isliye mujhe mazaa nahin aaya.........Comedy bahut kum lagi mujhe isme.
Oho, Yodha BRO...Aapko hasi nahin aayi. Aur, aapko Intelligent Comedy ko samajhane ke liye aapka dimaag lagana pada. Main maafi maangta hun Sir Jee ki Snakemaster Bro ko ek Ad mein Intelligent Comedy use karni padi. Pehle, batana tha ki Yodha BRO aapko dimaag lagana pasand nahi hai. Ye, lo hum abhi iss gap ko khatam kar dete hain.
Lo, bhaiya pehli line mein jis dimension mein Nagraj aur Doga pahunche huye hain wahan cheekh - chidappa faila huya hai. Ab, iss mein to kuch samjhane waali baat lag nahi rahi.
Nagraj - Kunal, uth kar dekhiyo to zara ki hum kis dimension mein aa gaye hain. Har taraf roshni ke dhamake fut rahe hain, cheekh - chidappa faila huya hai...Uff! Lagta hai goliyaan bhi chal rahi hain. Meri, to aankhein chundhiyan rahi hain. Mujhe apni godi mein chupa lo kahin pichli baar ki tarah hum, 'Jamaican Footballer Squad' ko unki Cheerleaders ka jhund samajh kar Chupan - Chupayi karne andar na ghus jaayein aur wo humara Dhakka - Mukki aur Kho - Kho na kar dein. Shayad kuch kuttey bhi bhaunk rahe hain.
Doga par jo picture ban rahi hai, uske liye Kunal Kapoor ko choose kiya gaya hai. Agar, aapko laga main Kunal Khemu ki baat kar raha hun to mujhe pata nahi tha. Zaahir hai, Nagraj apni chaaron taraf ke environment ko dekh kar seham gaya hai. Nagraj ki ek popular trait hai ki wo kisi bhi cheez se darta nahi hai aur ye trait hum har comic mein dekhte rehte hain. Aur, yahan to Nagraj, Doga ki godi mein chupane ki baat kar raha hai. Rishi ke shaap ke karan, Nagraj aur Doga tarah - tarah ki dimensions se hokar guzar rahe hain aur unki pichli dimension mein dono Africa ya Jamaica ki waadiyon mein pahunch gaye honge jahan wo kisi Jamaican Footballer Team ko unke kaalepan ke kaaran unki Cheerleaders ka jhund samajh kar chedne ghus gaye aur baad mein dono ka, Dhakka - Mukki aur Kho - Kho ho gaya. Uske, baad jaise hi Nagraj kehta hai ki, 'Shayad kuch kuttey bhi bhaunk rahe hain'...To, Doga uth khada huya. Ab, chunki Doga kutton ka humdard hai to wo unke shabd ka prayog hote sunkar uth khada hota hai.
Doga - Nagraj, lagta hai unhone ret ke inn dheron mein water missiles bhi chupa rakhin hain........Kuttey, accha to ye teri kartut hai. Municipality Vibhag ka khamba samajh kar mujh par hi dhaar ki barsaat kar di. Mere, saamne khade hokar, 'Hiss - Fuss' kar. Two - In - One karne ki badi khujli lagi rehti hai na, ab aage aa kar Solo ban. Tere paas to kaafi Alter Egos aur Identities hain, ab kar unka use....Dhvansak Sarp maar na zameen par, ret pighla na...Ya, Sheetnaagkumar ka use kar isse jama de....Tu to flagbearer hai na...Ab, jaa aage jaa kar RC ka jhanda foreign maayia mein pavesth kar ke, Swaragiya Jagran Hare The ban.....
Doga khada huya to Nagraj ne uss par Su - Su kar diya, jabki Doga pehle soch raha tha ki villains ne ret mein water missiles, waigarah kuch chupa rakha hai jo Doga ke khade hone se activate ho gayi aur uski dhaar, Doga ke pairon par jaa padi. Ek minute mein hi Doga ko asliyat samajh mein aa gayi aur usne Nagraj ke karnamon ka pardafash kar diya. Ab, Nagraj har baar Dhruva ke saath 'Two - In - One' Issues karta rehta hai, ab Doga Nagraj ko dhamka raha hai ki , 'Kaka ab Solo kar! Yahan jama apni dhakkadi'. Nagraj ki Nagayan, WTS, N.N.N., etc ka Doga mazak uda raha hai. Aur, ab Dhvansak Sarp maar zameen par kar na unka prayog, har comic mein to tujhe wahin yaad aate hain. Nahi, to Sheetnagkumaar ko bula, sabse pehle to apne ussi chahete ko bulata hai. Aur, Nagraj to RC waalon ka Flagbearer hai jo har saal har Country ka Tour laga kar wahan India ka jhanda gaad aata hai. Ab, Doga usse aur dhamka raha hai ki, 'Jaa, Jagran (Nagraj ka ulta karo to wo Jagran banta hai!) ab iss Foreign dharti par jhanda gaad aur apne parkhacche uda!'
Nagraj - Doga main aage chala to jaata lekin pichli kai dimensions mein villains se lad - lad kar meri Mahanagar waali laatein hi chali gayi hain. Aisa lag raha hai jaise kisi ne baans par kharbooja taang diya ho. Tumne to, "Nishachar" mein wo drum utha liya tha, mujhe bhi utha lo!!!!!!!
Doga - Kyun? Ab, Dhruva nahi hai chipkane ko, dono ne hairstyle bhi same - same design ke laga rakhe hain. Kaka, Dhruva, 'Genius' tha isiliye tera zeher pi kar Sri Devi - Devi ho gaya. Main, Genius nahi hun.
Nagraj - Doga apne Suraj ko mat jaagayo. Main maanta hun ki tum hi 450 kg ke faulad ho........
Bhau - Bhau...Gutur Goon....GRRRRRRRR....WUFFF - WUFFF....Kayaun - Kayaun............
Ab, Kaka ye to tumhe samajh mein aa kar hasi aa jaani chahiye thi. Mindless Humor ka itna shaunk hai to Harshes padh lo, unn mein bhara pada hai! Har, dimensions ko paar kar - kar ke Nagraj ki Mahanagar waali taangein chali gayin. Jab, Nagraj ki Mahanagar waali series chalni band ho gayin thin aur zada kuch content nahi mil raha tha to, 'Hari Maut' ke saath WTS shuru ho gayi thi jis mein Sukad sa Nagraj baans jaisa lag raha tha jis par kharbooja taang diya ho. Ab itne Tour par jaa kar Nagraj ki wohi haalat ho gayi hai. Doga ne, 'Nishachar' mein Climax mein Drum utha kar Nishachar ko de maara tha, to jab Doga itna bhaari drum utha sakta hai to ek sukad Nagraj kitne kg ka hoga! Phir Doga Nagraj ko aur taane maar raha hai ki ab Dhruva saath mein nahi hai to mujh se chipak le kyunki ek Dhruva hi mahaan pahuncha huya rocket scientist, 'Genius' (Genius par attyachar! ) hai jo tera zeher pi - pi kar Sri Devi ban gaya (Haan, to Sridevi ne Nagin ya Nagina mein kaam nahi kiya tha...To, yahan Sridevi ki bhoomika Dhruva nibha raha hai! ). Ab 'Raat ka Rakshak' jab Genius hai hi nahi to Nagraj ka zeher yahan kaam nahi karne waala. Ab, Nagraj Doga ki tareef karne ki koshish karta hai, 'Doga apne Suraj ko mat jagayo'. Iss line ke do pehlu hain. Ek to ye ki zadatar baar Comics mein, Suraj hi aisi mazak bhari baatein karta hai aur doosra ye ki Suraj ke jagane se subah hoti hai aur logon ki susti utarti hai jabki Nagraj yahan Doga ko apne Suraj ko sulate rehne ke liye keh raha hai (So Ja Doga! )....'Main maanta hun ki tum hi 450 kg ke faulad ho', Ab batayo Kaka 450 kg ka ekmatr faulad kaun hai?....Inspector Steel...Ab Steel to Nagraj ke saath hai nahi to Nagraj Doga par extra charbi aur rokhad daal kar usse machine bana raha hai. Ki tabhi Kutton ki toli ki awaz aane lagti hai. Iss se ekmatr sujhav to yahin hai ki kuch kuttey Nagraj aur Doga ki taraf aane waale hain.
Nagraj - .......doga, lagta hai aage chupe villains ne humpar doggy chod diye hain, dekhiyo kahin unke collars par bomb na bandhe hon....Apne, Kunal...Ahm! Apne, andar ke doggy ko haddi khila kar batayo Doga, kuttey kitni paas aa gaye?
Doga - Chad gayi na Nagu ki garmi tere dimaag pe...Ab sir pe baandh ke ghum Naagfani Sarp.....Jagmag Sarp chod na.......Fu - Fu kar ke chod Funkaar........Ab, Icchadhari kanon mein badalna band kar, ye to chote - chote puppy hain.
Nagaraj - Shukr hai tumne sahi time par bata diya main bhi apni Naagsena bulwane waala tha.
Doga - Mujhe aona grenade waste karne par majboor mat kar.
Nagraj - Doga inn puppyion ke thode se baal ukhaad lo, waapis apni dimension mein pahunch kar sabko dikha kar chidayenge ki hum yation ki sena se lad kar aaye hain.
Doga - Ab mujhe tumhara asli chehra dikh gaya, Nagraj!!!!!!!!!!!!!!
Nagraj - Mahanagar waala ya World Tour waala? Ek Narak Nashak Nagraj bhi hai...Wo, latest waala hai...........
Lo ab Nagraj ko pata hai ki Doga kutta fauj ka rakhwala hai to Nagraj, Doga ko bol raha hai ki, 'Bhaiye, tu unhe rok, kuch haddi - waddi khila...Kya pata villains ne unn par baandh kar hum par Bomb waiagarh na chod diye hon!' Aur Doga usse batata hai ki, 'Tere upar bhi Nagu ka Filmy Chaska chadh gayi. Ye James Bond ki picture nahi hai Kaka...Ye, to chote - chote puppy hain!' Chunki zadatar Army Movies mein joki bade budget par banayi jaati hain kutton ke upar bomb baandh kar unhe istemaal kiya jaa sakta hai. Lekin, J.P. Dutta ki ye dimension mein Dutta Sahab ke paas budget kum hai isiliye wo chote - chote puppy istemaal kar rahe hain. Ab Nagraj ko dekho...Har, comic mein villain baad mein aata hai Naagsena ka Frame Shot sabse pehle Shri Ganesh ho jaata hai. To Nagraj phir dikhane laga ki main kitna pahuncha huya hun, 'Inn par main Naagsena chod kar kaabu kar leta!' Doga ko pata hai ki Nagraj ne kiya - dhara kuch hai nahi, 'To agar Nagraj haankta gaya to Doga ne apna grenade istemaal kar ke use uda dena hai (Aisi hi tactic Dhruva ne Vidhvans mein prayog ki thi! ). Ab Nagraj ke upar uska Superhero waala rang aur chad gaya ki, 'Doge inn puppys ke thode se baal kaat lete hain. Baad mein apni sahi waali dimension mein pahunch kar sabko dikhayenge ki maine Lead mein reh kar kitne villains ko patkhani de maari!' Aur lo Doga ko pata chal gaya ki ab tak har comic mein Nagraj kya karta raha hai. Aur Nagraj ke itne chehron mein se usne apne teen bade waale saamne bole hain. Kaka ye itni bhi Intelligent Dose nahi thi.
Nagraj, puppiyon ke baal todne laga ki saamne se unki taraf shor - sharabe ki awazein aane lagin.
Doga - Hoshiyaar!!!!!!!!!Lagta hai hum Pakistan ya Afghanistan ki territory mein aa gaye hain. Saamne se suicide bombers ka jhund aata maloom ho raha hai. Offo!!!! inn puppys ke to daant bhi theek dhang se nahi uge. Nagraj ab tum hi kuch tandav karo.
Nagraj ki kenchuli utar gayi.
Doga - Beda Gark!!!!!!!!!!!!!!India ki North Territories ke aage to main aaj tak gaya nahi, warna Urdu ya Afghani bol kar hi samjha leta. Pakistan mein bhi Mohar Singh ko bhej diya tha...........YA ALLAH REHAM KAR, iske aage ka Adrak Chacha ke dua waale account se utha le.
Ab unki taraf shayad dimensions ke kuch villains ne halla bol diya aur Doga ko lag gaya ki shayad wo iss baar Pakistan ya Afghanistan ki dimension mein pahunch gaye hain aur unn par Suicide Bombers ke daste ne hamla kar diya hai. Ab chunki wahan sunsaan retele illake mein koi kuttey to hai nahi to Doga unn puppys ka istemaal karne se to raha jinki teeth development bhi nahi huyi hai, 'Ab Nagraj tu hi kar kuch Tandav' (Lo, Tandav ka promotion ho gaya. Ab kar le koi saanp - vaanp chod. Ret mein se naye saanp bula! ) Aur issi ke saath Kaka Ji ki kenchuli hi utar gayi. Ab bechara Doga bhi kya kare India ki North Territories ke aage bande ne koi goli - voli nahi chodi to usse Afghani waigarah ki kya knowledge aur to aur 'Pakistan Zindabad' mein bhi Mohar Singh ko bhej diya tha (Mohar Singh ki aadat hai...Har doosri - teesri comic mein Doga ban kar khud ko highlight karwata phirta hai! ), ab Doga ko koi prathna bhi nahi aati, Adrak Chacha har Comic mein, 'Ya Allah Reham Kar' bol kar apni duty nibha dete hain. To bas Doga ko iss line ke aage kuch aata - jaata nahi.
Jhund thoda aur paas aa gaya.
Doga - Inke chehre safed lag rahe hain, beech - beech mein ek - do saavle bhi dikh rahe hain, height bhi choti hai kahin Soviet Russia ki dimension to nahi. Nagraj, tum to World Tour par jaate rehte ho, unhe kuch bol kar rukwayo............
Nagraj - SAAVDHAAN! MEIN KAMF......HAIL HITLER....CHAPPA CHAPPA CHARKHA CHALE....RUSSIA....BELARUS.....UKRAINE....KAZAKHSTAN.....KYRGYZSTAN....RAJASTHAN....HALLA BOL.....DHAN - DHANA - DHAN - DHAN - DHANA - DHAN - DHAN - DHANA - DHAN, BAJENGE DHOL.......KARTA JAA GOAL PE GOAL........................!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Doga apna khanjar utha kar Nagraj ke pet mein ghopne laga.
Nagraj - Ye kya kar rahe ho Doga?
Doga - Tere shalkon par Ajanta aur Ellora Caves ki khudai kar raha hun.
Wo villains ki battalion thodi paas aayi to Doge ne dekha ki ye to gore - gore lag rahe hain beech - beech mein thode se saavle bhi hain joki baad mein pata lagta hai ki apne Bollywood ke superstars ke Baby versions hain. To Nagraj to World Tour par nikalta rehta hai, Russia bhi gaya hoga aur lo Nagraj ne bol di Russian. Beech mein Hitler ka naam lekar Germany/Nazism ko promote kar diya, Russia ke kuch parts ke naam le diye, aur apni Narak Nashak Nagraj waali Tagline, 'Halla Bol' bol kar 'Goal' ka gaana gaa diya (Goal ka gaana, 'Halla Bol' se hi shuru hota hai!). Ab Doga se bardasht nahi huya to usne apne pair par bandhe khanjar ko utha kar Nagraj ko ghonp diya par Kake ne itni powers ikkthi kar rahin hain ki usse koi phark hi nahi padta to Kaka ho gayi na Hare Shalkon par Ajanta aur Ellora Caves ki hoarding!
Wo jhund, Nagraj aur Doga ke saamne aa kar khada ho gaya.
Doga - Ye, to bacche hain.
Nagraj - Ye Raj Kids Series ke liye audition dene aaye hain kya?
"O Uncles! Hum yahan par shooting kar rahe hain aur aapne humara scene kharab kar diya. Ye, Ramsey Brothers ka set nahi hai!!!!"
Doga - Inki, shaklein to dekhi huyi lag rahe hain. Ye sab to Bollywood ke Superstars hain par inke kad chote kaise ho gaye. Kaun se protein ki kami ho gayi inn mein?
Nagraj - Doga, mujhe inn se introduce karayo na. World Tour ke kaaran main zadatar foreign filmon ke stars mein lokpriya hun.
Doga - Pooja Bhatt hai tu! Ye, Baby Sanjay Dutt hai aur saath mein Babys Sunil Shetty, Sunny Deol, Jackie Shroff, Akshay Khanna, Ajay Devgan, Kulbhushan Kharbanda, Abhishek Bachchan, Sanjay Kapoor, Saif Ali Khan, etc hain. Aur, wo jo side mein designer hairstyles mein khade lollipop munh mein daale khade hain wo Baby Sonu Nigam aur Baby Anu Mallik hain.
Nagraj - Doga wo kaala sa hubshi baccha kaun hai?
Doga - Accha, wo........Wo Baby Manoj Bajpayi hai.
Ab wo battalion unke saamne aa kar khadi ho gayi aur lo ye to, 'Kad Chota Rang Saavle' waali baat ho gayi. Chunki Doga ab Bollywood mein entry maar raha hai to usse inn sabki theek se knowledge hai (Waise, bhi Doga kaafi baar Salman Khan, Aishwarya Rai, Amitabh Bachchan aur Abhishek Bachchan se Wafa Series mein mil chuka hai! ), to Doga sab Superstars ko acchi tarah pehchanta hai aur Nagraj ko laga ki ye sab bacche shayad uske paas ab Vacant ho chuki Kids Series ke audition ke liye aaye honge. Nagraj ko kuch knowledge waigarah to hai nahi to patthe ne ye dikha diya ki World Tour ke kaaran sirf Hollywood, Japanese, Chinese, etc hi superstars usse jaante hain aur Doga ne usse Bhatt Camp ka member bana diya (Joki zadatar baar Foreign Pictures ka Om Bhatt Swaha karte rehte hain! ) Doga ne sab Babas se Babys ban chuke Heroes ka intro diya aur apne Manoj Bajpayi joki zadatar ke mukaable thode zada saavle hain unka bhi kalyan kar diya.
Doga ke chup hote hi Baby Superstars ne naachna shuru kar diya.
Babies - Sandheshe Aate Hain, Hume Tadpate Hain......Ke Ghar Kab Aayoge!!!!!!!!...........Ke Tum Bin Ye Ghar....Soona - Soonaaaaaaaaaaaa.......................
Doga - SATYANASH! Hum J.P. Dutta ki dimension mein aa gaye hain jahan Ramsey Brothers jitna budget hone ke kaaran Bollywood ke sab Superstars, Baby bane shooting kar rahe hain....Mujhe to laga tha Anurag Kashyap ki koi Thriller mein na pahunch gaye hon............!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Lo, aa gaya Climax....J.P. Dutta ki Border unki sabse zada popular picturon mein se ek hai aur main chahta to Refugee ya L.O.C. Kargil ke gaane bhi use kar sakta tha par nahi! Ab Doga ko pata chala ki wo J.P. Dutta ki dimension mein aa gaye hain jis mein Dutta ka budget cut hokar Ramsey Brothers jitna pahunch gaya hai. Majboori mein wo sab Superstars ke Baby versions use kar rahe hain.
Ab lo laga lo dimaag. Samajh lo Intelligent Comedy! Roko apni hassi. Snakemaster BRO. Jiska ek asli naam bhi hai!
- snakemaster
- Silver Scribe
- Posts: 3520
- Joined: 08 Oct 2006 07:59
- Location: Outside India, Ontario, Canada
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
Karan, easy Bhai! Ye ek vyathit writer kay mann
ki bhadaas hai jisko waise itni saari kahaniyon, scenes par reviews kum
hi milte hai aur jab milte hai to kismat se positive nahi mil paate.
Karan Bhai, tumne bahut achchha likha hai ye story ad par jab reader ko kahani ki prastavna, bhoomika ka andaza kum hota hai aur previews, ads mey kahani clear nahi ho paati to apne aap confusions uthte hai. Waise to writers ad mey zyada details nahi de sakte kahani ki par patience kay saath tum iss review ko inspiration/challenge ki tarah lo aur Deepak ji ka review apni lekhni kay liye badalva do....

..KYRGYZSTAN....RAJASTHAN...
- TRENDSTER
- Moderator
- Posts: 9396
- Joined: 07 Dec 2006 11:28
- Location: Lucknow, Uttar Pradesh, India
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
Main Ab Dekh raha hoon ki Mere Words ka Weight bahut jyaada badh raha hai……
Sach kehta hoon Karan Bhai………Aapke Dimension concept ki khaatirdaari mein main ek bahut lamba Review dene waala tha……….Phir Maine socha ki Aapko kuch jyaada bura naa lage………Isliye sirf 3 lines mein Aapko Apna View clear dikhaana chahta tha………..lekin Unn 3 lines ne bhi aapko 100 lines likhne ki haal mein pahuncha diya….
Main samajhta hoon ki aap kaphi waqt ke baad likh rahe hain……..Harsh topics mein Aapke bahut jaandaar aur Shaandaar harsh maine padhe hain…………..Aur unke mukabale mein Aapka yeh waala concept bahut choti cheez lagti hai……..Isliye Jab hum kisi ke baare mein bada Jaan aur padh lete hain……….toh jab who kuch apni ability ke hisaab se Kum kaam karta hai……….toh yeh batana toh farz banta hi hai ki kya humein uska prayaas pasand aaya ya nahin……….Hai naa.
Agar Aap apna har naya concept yeh soch kar likhte hain ki Aapko sirf achcha hi sunne ko milega aur baaki cheezein chupa li jaayein…….toh yeh baat ek writer aur reader dono ke liye hi Haanikaarak hoti hai..
Dekhiye yeh topic abhi shuru hua hai……….Aur aapke iss Concept ki shuruaat aapne explain kari hai ki kai saare Dimensions ke baad Dono Heroes J.P. Dutta ke dimension mein pahunche the……….Lekin yeh baat Clear nahin thi Naa………Atleast koi Hint de dete……Lekin Agar Last ke scenes ko pehle use kiya jaayega….toh Ajeeb toh lagega.
Doosri baat Aap kisi cheez ko apne nazariye se toh soch aur likh lete hain…….Lekin Aapko yeh bhi dhyaan rakhna chahiye ki Aapne jo likha hai usse padhne waala kitni easily samajh jaayega……….Woh bhi tab Jab koi aapko pehli baar hi Jaan aur samajh raha ho…………
Aapki writing style Mohit Bhaiya ya Doosre readers aasaani se samajh sakte hain……..kyunki who aapko lambe waqt se jaante hain………Lekin Jo nahin jaante unke baare mein bhi Sochiye……..
Baaki aapne Gusse mein Itna lamba Likh diya………..Itna jyaada react nahin karna chahiye tha aapko…………Aur yeh bhi nahin samjhna chahiye tha………Ki mujhe aapki Ek bhi line samajh mein nahin aayi……….Jo ki aapne Detail mein samjhaaya……….Like….
@ Doga par jo picture ban rahi hai, uske liye Kunal Kapoor ko choose kiya gaya hai. Agar, aapko laga main Kunal Khemu ki baat kar raha hun to mujhe pata nahi tha.
@ Ab, chunki Doga kutton ka humdard hai to wo unke shabd ka prayog hote sunkar uth khada hota hai.
@ 'Main maanta hun ki tum hi 450 kg ke faulad ho', Ab batayo Kaka 450 kg ka ekmatr faulad kaun hai?....Inspector Steel...Ab Steel to Nagraj ke saath hai nahi to Nagraj Doga par extra charbi aur rokhad daal kar usse machine bana raha hai. Ki tabhi Kutton ki toli ki awaz aane lagti hai. Iss se ekmatr sujhav to yahin hai ki kuch kuttey Nagraj aur Doga ki taraf aane waale hain.
@ 'Halla Bol' bol kar 'Goal' ka gaana gaa diya (Goal ka gaana, 'Halla Bol' se hi shuru hota hai!).
@'Jaa, Jagran (Nagraj ka ulta karo to wo Jagran banta hai!)
Yeh baat aapke Dimaag mein thi……..Ab humein koi sapna toh aaya nahin tha…….Ki Aap Nagraj ka Naam Ulta karne waale hain………Hum toh isse Raat mein jaagne waala Jagran samajh rahe hain..
@Mindless Humor ka itna shaunk hai to Harshes padh lo, unn mein bhara pada hai!
Hmm……..Ab kya kahun………Kuch kahunga toh Bekaar mein Baat badh jaayegi……….Isliye jaane deta hoon.
@ Ab lo laga lo dimaag. Samajh lo Intelligent Comedy! Roko apni hassi. Snakemaster BRO. Jiska ek asli naam bhi hai!
Aapko lagta hai kaaphi Gussa aa raha tha iss lambe post ko likhte huye……..Aapka Asli naam main Jaanta tha……….par socha ki Shayad pehli baar aapse baat kar raha hoon isliye Forum Name hi use karun……….nahin toh KARANWA…………naam se aapko khushi milti hai………toh Hum darte thodi hain………..Aapki agli writing ka bhi Intezaar karenge………Aur aapka bhi.

hahahahahahahahahahahahahahahahahahahahaha wow snaky wow...................................tere dimensions to outrageous he
- shrivastava
- Senior Member
- Posts: 1220
- Joined: 22 Oct 2006 15:06
- Location: Morena, Madhya Pradesh, India
Re: मेरा Dimension, तेरे सर! (Story Ad)
Man hilarious ! Agar Graphic Novel ya Comic ke layout me dekhta to artwork ka maza uthata !
- Perseus
- Wanderer
- Posts: 52
- Joined: 12 Apr 2010 18:24
- Location: , ,
No comments:
Post a Comment