2006 (My first Fan Fiction on RC website and RC Forums)
CLIP-
ANTHONY- kya aur koi rasta nahi hai, parmanu?
PARMANU-shayad yahi rasta bacha hai, anthony,ab tum hi probot ka khayal rakhna,agar meri maut se hi roop nagar bachega to mai khushi - khushi apnijaan dunga.ab to mai bhi tumhare parivar ka hissa hu.
DATE- 7 DECEMBER
TIME- 12:30 A.M.
BRAHMAND RAKSHAK ke head quater par TIRANGA AUR SHAKTI ke liye PARMANU ne ek message chodda tha.
"Mai kuch dino tak dilli ki raksha nahi kar paunga isliye ab
tiranga aur shakti ko hi dilli ki raksha ki poori jimmedari leni hogi, shayad mai laut kar na aa paun to hamesha ke liye yeh kaam unn dono ko karna hoga, VIDA DOSTO."
1 HOUR EARLIER - (11:30 A.M.)
"ARRE, Inspector ab to peecha chhod ab hum delli ke border ko par kar chuke hai."
"Tum, jab tak Bharat ke andar ho tab tak INS. VINAY ki seema ke andar ho,tumhari pehli galti yeh hai ki tumne mere area mey bank loota hai, aur doosri galti yeh hai ki tum log bike se bhaag rahe ho, mujhe sarkari barood fezzul kharch karne ki aadat nahi hai, DHOOM jaise movies ne tum jaise yuvao ka dimag kharab kar diya hai."
INS. VINAY ne gooli chalai jo motorcycle ke pichle tyre par laagi , jiss se bike aniyantrit hokar durghatnagrast ho gaayi.
AB vinay ka kam khatam ho gaya tha aur AMBULANCE ka unn dono ghayal badmasho ko haspital le jaane ka kaam shuru ho gaya.
Tabhi probot ki aawag transmeter se goonji,
"PARMANU....PARMANU kya tum mujhe sun rahe ho."
"Haan ,PROBOT, ab kise meri madad ki jarurat hai."
"Mujhe parmanu, yaha, jaldi lab me aa jao....."
"Probot.. Probot jawab do kya ho raha hai lab me,ooh lagta hai sampark tuut gaya hai."
PARMANU badhawas sa lab me phahucha , poori lab tahas nahas ho chuki thi,probot nirgiv(bina harkat) apni seat par beetha hua tha, uski special battries kisi ne nikal li thi.
Probot ki ungli ak aur isshara kar rahi thi, uss aur dekne par parmanu ko ak time bomb dikha giske fatne mai 9 seconds bache theey ,PARMANU PROBOT ko lekar ghar se bahar udd chala,
AUR AK DHAMAKE KE SAATH PARMANU (VINAY) KA GHAR DWAST HO GAYA.
PARMANU ka dimag saaye-saaye bol raha tha, niskirya Probot ko dekhkar wo bhavuk ho uttha,iss sab ke peeche kiska haath tha ye Parmanu ko jyada sochna nahi pada , ak hi naam parmanu ke jehan me aaya uske mama KK yani kamal keshav , jo ab apradh ki duniya me chala gaya tha. parmanu kya kare yeh usse sujh hi nahi raha tha.
PARMANU ro rokar nirjeev pade PROBOT baate kar raha tha,
"Aap theek ho jaoge, mai khud aapki battery banaunga,
ab hum iss samasya ka sthai haal nikalne taak yaha se bahut dur chale jaenge.
PARMANU PROBOT KO LEKAR KAHI "DOOR" UDD CHALA.
USSI SAMAY DELHI MEY AK ANJAAN STHAAN PAR ->
"KK , mere dost maine tumhara kaam kiya, ab tumhe mera kaam karna hoga."
KK - Kya....woh marr gaya ?
"Uss bomb ki shock waves ne poore bunglow ko saafa chat kar diya,
waise yeh kaam to tum khud kar sakte thay, YEH KYA TU RO KYU RAHA HAI , apne bhateje se itna hi pyar tha to usse marvaya kyu ?"
KK - BIRLA, aaj mujhe akela chhod do, kal aakar tum mujhe apna plan
samjhana mai wo kam zaroor karunga.
BIRLA - Theek hai.....theek hai, mai kal aaunga, kal tak shayad tu sahi ho jaaye.
ROOP NAGAR ->
DATE - 8 DECEMBER
TIME- 10 AM
ROOPNAGAR, jaha raat kay waqt log chainn ki neend soote hai, kyoki koi bhi apradh hone par ak murda (ANTHONY), apradhiyo ko saza dene aa jaata tha, par din ke samay kuch apradhiyo ke housale buland hote hai.
VINAY PROBOT KO LEKAR ROOP NAGAR AAYA THA.
"Jo bhi darwaje par ho usse bahar se hi tarka de, varna tere bacche ki gardan uski body se alag kar dega, apun"
Yeh awaze bahar khade Vinay ne sun li thi
"Kaun hai bahar , bolti kaai ko nahi."
"K....koi nahi , koi nahi hai."
"Jhoot bolti hai sa***, ab tera beta to gaya"
Iss se pehle ki uss badmash ke haath koi harkat karte dono badmasho ke haatho aur pairro par do-do goliya lag chuki thi, yeh goliya khidki me se Vinay ney chalai thi. Thodi dair me DCP ITIHAS bhi khabar pakar aa chuka tha.
Yeh ANTHONY ka ghar tha. VINAY ney KING aur MARIA ki jaan bachai thi.
Jaate - jaate ak badmash ney kaha,
"Abe maa ka doodh piya tha to saamne aakar goli chalata, kayaro ki tarah goli kyu chalai ?"
VINAY- "Jo khud bachche ko bandhak bana kar ghar loote, usse dusaro ko bahaduri ka paath nahi padhana chahiye."
ITIHAS- " Naujawan, tumne iss bachche ko bachakar mujh par hi nahi poore Roopnagar par bahut bada ehsaan kiya hai, tum iss shehar mey naye lagte ho , batao hum tumhara ehsaan kaise chuka sakte hai. Yeh kya koi ROBOT hai."
VINAY apni asliyat chupana chata tha to usne apna parichay kuch iss tarah diya-
"Mai modeling karta hu, Roopnagar, MUMBAI ke paas hai to mai yahan kaam ki talash mai aa gaya, yeh robot mere mama ji ne banaya hai jo ab iss duniya mai nahi hai, bandook bhi mai unke issi avishkaar ko bachane ke liye saath rakhta hu. Mujhe rehne ke liye jagah ki zarurat hai."
MARIA- Aapne ek saath hum par itne ehsaan kiye hai, aaj se aap barso se khali paade mere PAPA kay room mey rahenge.
PRINCE AUR KING BHI ISS NAYA MEHMAAN KE AAGMAN SE KAAFI UTSAHIT THAY.
KING ne PRINCE kay saath milkar ek hi din me Vinay ko pura Roopnagar dikha diya.
VINAY ko bhi ANTHONY ki zindagi ke baare mey kaafi kuch pata chala.
DATE -8 DECEMBER
PLACE- SOMEWHERE IN DELHI
KK, ab samanya ho chuka tha, BIRLA, usse apna kaam samjha raha tha.
BIRLA-"Dekh bhai, KK , Tu khud ek scientist hai tujhe kya samjhana, tu bas yeh samajh le ki mai ek bahut bade "NUCLEAR PROJECT", par kaam kar raha hu, jiske liye mujhe chahiye "URANIUM" bhari matra mey, bharat me ROOPNAGAR namak sthan par vaigyaniko ko URANIUM aur dusare RADIOACTIVE MATERIALS, ki bhari matra ka pata chala hai. Tumhe ROOPNAGAR ko mere liye khali karvana hai, mere khayal se ROOPNAGAR jaise chhote shehar ko khali karvana tere liye chutkiyo ka kaam hai. Ab to Parmanu ki tension bhi khatm ho gayi tere dimaag se.
KK - TU, KHUD bhi to Roopnagar ko khali karva sakta hai. Tere paas bhi to kai khatarnak aadmi aur "MASS DESTRUCTION" ke hathiyar hai.
BIRLA- LAGTA hai ki bhateje ki maut se tu hil gaya hai, agar mai "MASS DESTRUCTION" ke hathiyar isteymaal karunga to sabki nazar me aa jaaunga, abhi mera project bhi aadhura hai.
KK- Agar yeh kaam sab se chhup kar hi karna hai to
Roopnagar ya aas paas ke sabse takatwar insaan ko iss kaam
me lagana chahiye aur wo dhundne ka kaam tum mujh par chodd do, naya saal roopnagar waale sadko aur galiyo par bitaynge.....ya shayad......
Phir wo sthaan KK aur BIRLA ke thahako se goonj uttha.
DATE- 9 DECEMBER
PLACE- ROOPNAGAR
TIME 11:30 AM
VINAY PROBOT ko Roopnagar aane ke karan baata raha tha, halaki PROBOT abhi bhi nirgiv pada tha,
VINAY- "PROBOT, aap to jaante hi hai ki aapki madad se hi mai apradh ko rokta tha, waise bhi agar meri PARMANU BELT ki SPECIAL BATTERY charge naa ho to mai kuch dino tak hi PARMANU ke roop me crime fighting kar pata. AB jab tak PROBOT zinda nahi hoga tab tak PARMANU bhi zinda nahi hoga, yaha ke log mujhe nahi pahchante, kuch dino kay andar mai iss samasya ka hall nikal lunga aur phir sab pehle jaisa ho jaayega."
VINAY ko Anthony key kamre se ek purani cassette mili.
wo usse chalane hi wala tha ki tabhi,
KING- Isse wapas rakh dijeye vinay uncle, mummy aur naany kehti hai ki ye "CROW MUSIC" manhus hai.
Baad mey DCP ITIHAS nay VINAY ko crow music ke baare mey bataya,
ki ANTHONY ne CROW MUSIC ki rachna ki par kuch logo ne uss music se laabh utthane ke liye ANTHONY ki hatya kar di, phir jaha bhi CROW MUSIC baja Anthony nay waha aakar vinash machaya aur sabhi gunahgaro ko maar diya. Isliye iss music ko logo ne manhus karar de diya aur phir iss music ke saare record khatm kar diye gaaye. Par MARIA nay ek cassette sambhal ke rakhi thi aur ANTHONY ne uss se vaayda kiya tha ki jab bhi wo crow music bajayegi tab wo uss se milne zaroor aayega.
ANTHONY KA GHAR , shayad uska nahi tha,
MARIA ko 15 din me ghar khali karne ka LEGAL NOTICE mila,
notice bhejne wala ANTHONY kay uss DOST ka beta tha jisne Anthony ko yeh bunglow becha tha. Notice me likha tha ki makaan ki uss samay ki aadhi kimat di gaayi thi , aadhi kimat deni abhi baaki thi jo sud (interest)
mila kar ab 30 lakhs ho gayi thi. Ab ya to JULIE jiske naam par
ANTHONY nay ye makan kharida tha wo makan khali kare ya 30 lakh rupaye makan ke waaris ko de.
JULIE nay bataya ki "ANTHONY uss waqt CROW MUSIC bana kar bahut utsahit thay aur makaan ka aadha paisa shayad wo CROW MUSIC ki royalty se dete, unhone ye baat kabhi mujhe nahi batayi. Par ab to wo........
JULIE roone laagi, saara parivar chintit tha.
Itni jaldi itna paisa laana sambhav nahi tha. ITIHAS AUR MARIA ke pati DR. JOHN ne madad karni chahi to JULIE ne mana kar diya, usne kaha ki YE vaayda ANTHONY nay kiya tha ab wo hi usse poora karenge.
VINAY kisi ko nazar nahi aa raha tha , PROBOT to room mey waisa hi nirjeev pada tha par VINAY shayad ghar chodd kar kahi chala gaya tha.To kya VINAY musibat mey sabko akela chodd kar chala gaya tha?
DATE - 24 DECEMBER
JULIE apne nirnay par atal thi, usse vishwas tha ki ANTHONY aakar apna vaayda nibhayga. ITIHAS, MARIA, kosish kar kar kay thak chuke thay par budhi JULIE ki zidd ke aage unn dono ko jhhukna hi pada. VINAY ko gaye 15 din ho chuke thay aur uski koi khabar nahi thi. Prince karkasha raha tha, har koi udaas tha, King ke andaar Anthony ki aatma tadap rahi thi. In 15 dino mey ANTHONY nay kamane ki kosish to ki par wo bahut kum kama paaya, jo kaafi nahi thay.
MAKAAN khaali karwane kay liye log aa chuke thay, iss se pehle wo andar ghuste VINAY ne unhe rooka aur makaan ke waaris ko uske 30 lakh rupaye diye.
JULIE- Nahi, VINAY, mere ANTHONY dusaro ka ehsaan nahi lete
thay. Tum apne paise wapas le lo.
VINAY- Ye unhi kay haq ki kamai hai, maine aap sab ko bina bataye CROW MUSIC ki cassette aur ANTHONY kay musical notes le jakar CROW MUSIC ki rights ek company ko bech di, uss company nay mujhe CROW MUSIC aur unke notes ke 50 LAKH RUPAYE diye, ab CROW MUSIC ke rachyeta ka naam "LATE ANTHONY GUNZALVEZ" likha jayga aur unke notes par bhi ab EK "MUSICAL SERIES" banayi jaayegi. Aap log iss chori ki jo chache saza mujhe de sakte hai. Ooh samay kya hua hai...... subah ke 11....jaldi radio on karo King beta.
RADIO par announce hua ->
"THE CROW MUSIC, composed by LATE ANTHONY GUNZALVEZ"
Radio par CROW MUSIC bajne laaga, waha khada har shakhs ro raha tha, JULIE nay kuch nahi kaha , wo bas VINAY ko ek takk dekh rahi thi, wo zameen par baith gayi aur uski aankho se aansu girne laage.
MARIA chila chila kar keh rahi thi ki,
"MAA, MAI JAANTI THI MERE PAPA KA MUSIC MANHUS NAHI HO SAKTA, ITIHAS UNCLE ... AAPNE SUNA MERE PAPA KI MEHNAT RANG LAAYI. DEKHO NAA MAA, PAPA NAY APNA VAAYDA POORA KAR DIYA. JEEVAN DENE WALA MUSIC KABHI MANHUS NAHI HO SAKTA, GOD BLESS YOU VINAY, GOD BLESS YOU"
King ke andar Anthony ki aatma to jaise bahar nikal kar VINAY ko gale lagana chahti thi, apne parivar ko itna khush Anthony nay pehli baar dekha tha.
Ab PRINCE ki karkash aawaze kisi ko buri nahi lag rahi thi.
AAJ VINAY KO LAGA KI VINAY KAY ROOP MEY YEH EK KAAM PARMANU KAY HAZARO KAAMO KAY BARABAR HAI. VINAY AB ANTHONY KAY PARIVAR KA AUR BHI KAREEBI BAN GAYA THA.
VINAY PARMANU KO BHULTA JAA RAHA THA KYOKI USKA "NAYA PARIVAR"
USSE YEH SAB SOCHNE KA MOUKA JO NAHI DE RAHA THA.
KK ko BHANJA ROOPNAGAR ka sabse khatarnak villain laga,
BIRLA ne BHANJA ko 25 crores ka lalach diya aur BAHNJA nikal pada
ROOPNAGAR vaasiyo ko khatam karne aur ROOPNAGAR khaali karvane.
25 DECEMBER ->
Aaj CHRISMAS tha, ANTHONY KA PARIVAR , VINAY, ITIHAS ke saath
CHURCH gaye, sabhi khush thay par KING udaas tha, wo subaah sey hi kisi ka intezaar kar raha tha.
VINAY ney MARIA se KING ki udaasi ka kaa ran puccha, toh MARIA
ne bataya ki KING har christmas par SANTA CLAUS ka raat tak intezaar karta hai par har baar wo niraash hokar soo jaata hai.
VINAY ne to jaise ANTHONY key parivar ko khush karne ki kasam khaa li thi. AB VINAY KING ka dil behla raha tha SANTA CLAUS ke roop me,
KING ke dost bhi SANTA CLAUS se gift lene aa gaye.....par iss chakkar mein VINAY ka purse khali ho gaaya.
BHANJA ROOPNAGAR aa chuka tha aur wo apna kaam apne purane dushman ANTHONY ke ghar se shuru karne wala tha, apni GRUTVAKARSHAN (GRAVITY) shakti se ussne ghar ki boundry wall gira di, ITIHAS usse rokne aaya to ITIHAS ko usne "GRAVITY ZONE"
me daal diya jo usne professor KK ki madad se tayyar kiya tha.
ITIHAS - T...Tumhari dushmani ANTHONY se hai , uske parivar se nahi. Jaane do inhe.
BHANJA - ANTHONY se bachne ke liye hi mai din ke samay aaya hu,
mujhe pura ROOPNAGAR saaf karna hai aur iss kaam shuruat mai ANTHONY kay ghar se karunga. Halaki din ke waqt meri shaktiyan bahut kam hoti hai par ANTHONY se bachne kay liye mai itna risk to le hi sakta hun. PROF. KK ney mujhe din key anusaar dhaal diya hai.
BHANJA ki special dress bata rahi thi ki prof. kk ne usse puri tayyari kay saath bheja tha, pehli baar BHANJA din me bina rok- tok apradh kar raha tha.
SANTA CLAUS ke roop me VINAY aur KING ke aandar ANTHONY ki aatma
BHANJA se parivar ko bachana chahte thay.
ISS hulchul ka faayda uttha kar KING kay aandar moujoud ANTHONY KI AATMA usse door lay gayi VINAY bhi kahin gayab ho gaya.
Tab jo hua uss par kisi ko vishvas hi nahi hua.
PARMANU ROOPNAGAR KE AASMAN MEY UDD RAHA THA, PARMANU KO DEKHKAR KING KE ANDAR ANTHONY KI AATMA APNE PARIVAR KI SURAKSHA KE PRATI NISHINT HO GAYI THI.
BHANJA ko PARMANU kay aane ki umeed nahi thi , ek PARMANU BLAST
ne hi BHANJA ka dhyaan bhaang kar diya, par shayad PARMANU bhi BHANJA se pehli baar ladd raha tha, uski ek hi "gravity beam" nay PARMANU ko zameen se chipka diya, PRINCE aaj PARMANU ki jaan bachane ke liye BHANJA ka dhyaan bata raha tha par prince bhi BHANJA ko kuch hi seconds kay liye rok paya, BHANJA PARMANU ke paas aaya aur usse ITIHAS ki tarah "GRAVITY ZONE" mey kaidd kar diya. PARMANU apne "naye parivar" ke liye "gravity zone" se nikalne ki jee jaan se kosish kar raha tha, usne apne "Parmanu Chaallo" se zameen me itni jagah bana li ki wo transmit hokar usme se nikal gaaya , ab kaidd hone ki baari BHANJA ki thi.
Ek Pamanu blast se Parmanu ne PROF KK dwara BHANJA ko diya gaya special suit faad dala, aur dusare parmanu blast ney BHANJA ko buri tarah jhulsa diya, aaj pehli baar PARMANU itne gusse mai tha behosh pade
BHANJA par bhi vaar karne waala tha ki KING ne PARMANU ko insaani jaan
na lene ki kasam yaad kara kar BHANJA par vaar karne se rooka.
PARMANU ney BHANJA ko "parmanu rassi" ke khol mey kaidd kar diya.
ROOP NAGAR KO NAYA SUPERHERO MIL GAYA THA, PARMANU JAISE AAYA THA WAISE HI SABKI NAZRO SE OOJHAL HO GAYA.
PARMANU kay ROOPNAGAR mey dikhne ki khabar KK aur BIRLA tak pahunch gayi thi . LEKIN, BIRLA NEY BAHUT KUCH AUR BHI SOCH RAKHA THA.
DATE - 25 DECEMBER.
TIME- 9:30 PM
PLACE- SOMEWHERE IN DELHI.
BIRLA - KK, tumne kis joker ko ROOPNAGAR bheja tha ?
KK - Usse ANTHONY ko dhyaan me rakhkar bheja gaya tha,
yeh PARMANU ROOPNAGAR mey kaha se aa gaya ? Tumne to usse
maar dala tha ? Waise tumhe baata du ki wo "joker" BHANJA jisse
maine bheja tha wo police custody se bhaag chuka hai. Ab wo ek baar phir apni kosish ko anjaam dega.
BIRLA - Wo bach gaya iss baat par to mujhe bhi aascharya ho raha hai,
par tab nahi to ab sahi wo marega zaroor. Ab ROOPNAGAR ek jhatke mey sunsaan ho jayega, hum apne iss adde sey roopnagar ki taraf ab tak tayyar hui 15 missiles chhodenge wo bhi ek saath , tab to ROOPNAGAR bhi saaf aur PARMANU bhi marega. Missiles launch karne se pehle hi hum apna yeh adda chhod chuke honge. Ab yeh BHANJA ki kismat hai ki wo ROOPNAGAR Missiles choddne se pehle khaali kaara de warna wo bhi Missiles ke humle me maara jayega.
KK - Tumne ab tak mujhe apne "NUCLEAR PROJECT", ke baare mai nahi bataya. Ab ROOPNAGAR ko tabah hone sey koi nahi rook sakta.....ab itminaan sey mujhe iss project kay baare mey batao.
BIRLA- WAISE to mai yeh baat tumhe baad mey batana chahta tha ,
par tum itne utaavle huey jaa rahe ho to tumhe bata hi deta hu. Mera NUCLEAR PROJECT "CONTROLLED NUCLEAR FUSION and FISSON" techniques par aadharit hai. Waise duniya mey ab tak "CONTROLLED NUCLEAR FISSION", technique hi prachalit hai, nuclear fission me ek ya jyada aanu(atom) kay vightan sey do(2) aanu (atoms) bante hai jis se urja nikalti hai , par "CONTROLLED NUCLEAR FUSION" tecnique mey doo (two) atoms ko milakar ek atom banaya jaata hai jis se FISSION se kai guna jyada urja nikalti hai.
Mai NUCLEAR PROJECT ki madad se duniya kay sabse khatarnak hathiyar
banaunga ussi ke liye mujhe uranium ki jarurat hai. SARKAR ki nazaro se
bachne ke liye yeh project "KANHA NATIONAL PARK ", mey chal raha hai.
Waha kay RANGERS ko bhari rakam deni padti hai par uss project sey mujhe uss keemat ka kai guna zyada faayda hoga kyuki iss project ko padosi desh ki khufia agencies finance kar rahi hai. Humari kismat bhi achchi hai, yeh "KANHA NATIONAL PARK", ROOPNAGAR se zyada door nahi hai.
DATE - 27 DECEMBER
PLACE - ROOPNAGAR
KING - Kya, VINAY uncle , 3 dino se aap ko guitar bajana sikha raha hu aap to kuch seekh hi nahi paaye, aap to bahut buddhu ho.
VINAY - KING beta, 3 dino se mai tumhara home work karne ke chakkar me MUSIC par dhyaan hi nahi de paa raha hu.
KING - Isliye hi to mai aapko buddhu keh raha hu, aapne ab tak saare questions galat kiye hai, meri teacher ney mujhe bahut daanta.
VINAY - Kya.....ooh lagta hai padhai chodde huey kaafi time ho gaya hai. Beta mai baaki sab kaam to theek karta hu na.
KING - Kuch theek nahi karte aap...... Christmas par SANTA CLAUS ban kar jab aap aaye to maine aur mere dosto ne aap ko pehchan liya tha.
VINAY - Kaise pehchan liya, beta?
KING - Aapne daadhi mooch aur coat to pehan liya tha par aap pant pehan na bhool gaye thay. Maine kitna sharmate aapse huey gift liya hai ye mai hi jaanta hun.
Yeh sun kar MARIA AUR JULIE hasne laagi aur VINAY kuch naa bol saka.
DATE- 28 DECEMBER
PLACE- ROOPNAGAR
TIME- 11 PM
ANTHONY key ghar me sab soo chukey thay, VINAY apne kamre mey
soo raha tha tabhi ek aahat se uski aankhe khuli ,
"PARMANU uttho."
VINAY- kaun hai wahan.... ?
"Ghabrao mat Parmanu, main ANTHONY hun."
VINAY- Ooh ANTHONY, tum itni raat ko, aur tum mujhe parmanu kyu
keh rahe ho, lagta hai tumhe kuch galat fehmi hui hai.
ANTHONY- Iss murde ki nazar har waqt iss ghar par rehti hai, aur tum bhool gaye ki PRINCE bhi iss ghar par nazar rakhta hai usne tumhe PARMANU bante huey dekh liya tha, ab bhole mat bano aur yaha iss tarah aane ka karan batao ? chinta mat karo, tumhara raaz iss murda jism se bahar nahi jayega, itney raaz dafn hai isme ek raaz aur sahi, ab tum mujhe Delhi se yaha aaney ka kaaran batao.
VINAY - Ab tum sab jaan hi gaye ho to suno.
Vinay ne Anthony ko Delhi se roopnagar aane ki kahani batai. Jisse sunney key baad.
ANTHONY - Ooh , samasya toh sachmuch bahut gambhir hai, mai PROBOT ko active karne ki poori kosish karunga.
VINAY- Dhanyavaad, ANTHONY , PARMANU ka raaz surakshit hi rahega, mujhe tum par poora bharosa hai.
ANTHONY laut gaya aur VINAY, PROBOT ko jeevit karney key tareke sochne laga.
DATE- 29 DECEMBER
TIME- 8:45 PM
Aaj BHANJA laut aaya tha aur usne pehley ki tarah hi ANTHONY ke ghar ko apna nishana banana chahaa par.....raat key samay mey ANTHONY ko apradh sthal par aane mey kuch hi pal lagte hai. ANTHONY , BHANJA sey
ladne laga , yuddh bhishan tha, jisse dekh VINAY ney PARMANU bankar
Anthony ki madad karney ka faisla liya par television par flash ho rahi ek khabar sey woh sab kuch bhool gaya.
Woh khabar thi. ->
" Bhartiya sena ke RADARS ne ROOPNAGAR ki taraf DELHI se aati 15 MISSILES ko trace kiya hai, par itni jaldi MISSILES ko ROOPNAGAR se takrane se bachana namumkin hai. Delhi key jis sthan sey yeh missiles chhodi gayi thi wahan par police dwara maari gayi chhape (RAID) mey koi nahi mil paya hai, ab ROOPNAGAR ko tabah hone mey lagbhag 4 minutes ka samay lagega, sarkar ka Rajya mey red alert."
Jaate - jaate VINAY ne PRINCE ko ek kagaz diya , shayad pheechli
raat VINAY ney PROBOT mey 'jaan daalne' ka tareka soch liya tha, jo VINAY ney uss kagaz mey ANTHONY key liye chhoda tha.
AB PARMANU missiles sey ROOPNAGAR ko bachaney key liye udd gaya,
idhar ANTHONY ROOPNAGAR ko BHANJA se bachane key liye usse ladd raha tha.
PARMANU AUR ANTHONY MEY SEY EK KI BHI NAKAMI ROOPNAGAR KO SHAMSHAN MEY BADAL SAKTI THI.
ANTHONY , BHANJA ko ek sunsaan elake mey ley jaane mey safal ho
gaya tha, par unki ladai mey BHANJA ka palda hi bhaari nazar aa raha tha,
PRINCE anthony ki madad karne aaya to ANTHONY nay usse rok diya kyoki ANTHONY jaanta tha ki BHANJA kay liye PRINCE ko khatam karna chutkiyo ka kaam hai.
ANTHONY nay hamesha ki tarah "thadi aag" ka vaar kiya par BHANJA ney uss vaar ko hawa me hi rook liya, ab BHANJA apni gravity beam sey ANTHONY par vaar karney laga, ANTHONY ka shareer dheere - dhreere shat vikshat honey laga, BHANJA ab apni gravity beam sey ANTHONY ko uchchaal raha tha, BHANJA ko iss khel mai mazaa aa raha tha aur jaise- jaise yeh khel apne charam par pahunch raha tha ANTHONY ka shareer bejaan ho raha tha. Ab shayad ANTHONY aur ROOPNAGAR ko koi nahi bacha sakta tha.
ROOPNAGAR SEY KUCH DOORIE PAR-
PARMANU aakash mey parvaaz kar raha tha aur ussey dikh rahi thi ROOPNAGAR sey takrane key liye badhti 15 missiles,
PARMANU agar ek ek missile ko nasht karta to uski saari power khatm hone ka khatra tha, PARMANU bhi duvidha mey tha.
Par shayad usse iss samasya ka samadhan sujh gaya tha.
Ek kay peechey ak missiles ko ek saath aakash me hi khatam karne kay liye PARMANU apne parmanu chhallo aur parmanu rassi sey 4-5
missiles ka direction dusari missiles ki taraf moda aur sabhi missiles aapas mey takrakar aakash mey hi khatam ho gayi. 2-3 missiles jo bachhi unhe samahla PARMANU kay liye aasan kaam tha.
Ab PARMANU, Anthony ki madad kay liye udd chala. PARMANU nay
BHANJA par asavdhan halat mey vaar kiya, ab Anthony aur Parmanu apne sanyukt vaar karney lagey, par BHANJA par jyada fark nahi pada.
aur wo ab bhi dono par bhaari pad raha tha.
BHANJA kay vaar bhadte jaa rahey thay. Sthiti vikat hoti jaa rahi thi.
Tabhi ANTHONY ko ek hull sujha, par ismey usse Parmanu ki madad ki zaroorat thi, ANTHONY nay jaldi sey Parmanu ko samjhaya.
Turant hi Dono nay apni poori shakti sey vaar kiye aur BHANJA kuch seconds key liye ladkhada gaya, ANTHONY aur PARMANU , BHANJA ko aakash ki gehraiyo me udda ley gaye. BHANJA ko antariksh mey chood kar ANTHONY , PARMANU, neeche aa gaye . Waapas aatey hue PARMANU nay ANTHONY sey poocha-
"BHANJA ko to tum akele bhi antariksh mey ley jaa saktey thay."
ANTHONY- Haan, agar koi aur hota to ley jaata, par BHANJA ko nahi.
PARMANU -KYA MATLAB?
ANTHONY- BHANJA , kay paas gravity ki shakti hai, uss sey par paane kay liye hum dono ki saamilit shakti ki zaroorat thi.
ROOPNAGAR SEY AB DONO KHATREY TAL GAYE THAY.
AACHANAK PARMANU AAKASH MEY PARKATEY PAKSHI KI TARAH GIRNE LAGA, JIS CHEEZ KA USSEY DARR THA WO HO CHUKI THI, USKI BELT KI SPECIAL BATTERY KHATAM HO CHUKI THI.
PARMANU KA SHAREER ANIYANTRIT HOKAR GIR RAHA THA, JIS KARAN WO BEHOOSH HO GAYA THA, PAR USKA GIRNA JAARI THA. AB TAK ACHABHIT SA DEKH RAHA ANTHONY HARKAT MAI AAYA AUR USNE PARMANU KAY GIRTE SHAREER KO PAKAD LIYA.
PARMANU KI HALAT BIGADTI JAA RAHI THI. ANTHONY NAY PARMANU KO VINAY KAY ROOP MEY HOSPITAL MEY BHARTI KARAYA AUR WAHA KAY KARAMCHARIYO KO SHEHAR MEY HUE BLASTS KO VINAY KAY GHAYAL HONAY KA KAARAN BATAYA.
ANTHONY KA PARIVAAR VINAY KI SEVA MEY LAG CHUKA THA, WO ANTHONY KI TARAH APNE PARIVAAR KAY DUSARE "SADASYA", VINAY KO NAHI KHONA CHAHTA THAY.
PRINCE nay ANTHONY ko VINAY dwara diya gaya kagaz diya jismey Probot ko theek karney ka tareeka likha tha. ANTHONY nay PROBOT ko ek hi raat mey Vinay kay likhe notes kay anusaar theek kar diya.
PRINCE nay apni bhasha mai ANTHONY sey PROBOT ko itni jaldi theek
karne ka kaaran jaan na chaha.
PRINCE- ANTHONY tumne kaise...............?
ANTHONY- Mai jaanta hu ki tu yahi puchna chahta hai na ki uss kagaz mai
aisa kya likha tha jo PROBOT itni jaldi theek ho gaya.
PROBOT ki "special batteries" nasht ho chuki thi, usse ek "alternative energy" yaani vaikalpik urja ki zaroorat thi, VINAY nay mujhe sujhav diya tha ki mai aatma key roop mai PROBOT kay andar jaaun aur usse apni shakti se chalakar uske circuits mey maujood jaankari sey Probot ki special batteries dobara banane ka tareka jaan ne kay saath saath Parmanu ki belt ki batteries charge karne ka tareka bhi jaan lun. Probot ki body mey ghuskar maine inn jaankariyo ko haasil kiya aur usse phir se Parmanu ki madad kay liye tayyar kar diya.
AB PROBOT dobara kaam karne laga hai, aur unn missiles kay aane ka
sthaan trace kar raha hai, missiles kay baare mey jaankari bhi jood raha hai taaki ROOPNAGAR bach sake.
Ab bas VINAY kay hoosh mey aaney ka intezaar hai. Agar VINAY hoosh mai nahi aaya to mai hi jakar wo sthaan nasht karunga jaha se yeh vinaash mach raha hai.
VINAY dheere - dheere theek ho raha tha aur ab Parmanu belt bhi charge ho chuki thi, uske "parivaar", ki mehnat rang laa rahi thi. Wo din bhi aaya jab Vinay hospital se discharge ho gaya. Ab tak PROBOT missiles key aane ka route bhi trace kar chuka tha. Ghar pahuchne key din probot ney Parmanu Dress Vinay ko di.
VINAY PROBOT KO HARKAT MEY DEKHKAR KHUSHI SEY USKE GALEY LAG GAYA, PROBOT BHI VINAY KI MANO STHITI SAMAJHKAR USEY GALEY MILA AUR PHIR USNE VINAY KO MISSILES KA UDGAM STHAL BATAYA.
"KANHA NATIONAL PARK".
PROBOT - VINAY, "Kanha National Park" to bahut bada hai,
tum unhe kaise dhoondoge ?
VINAY - Raat honey hi wali hai mai PRINCE key saath ANTHONY ki kabr par jaata hu, wahi sey hum dono ek saath "Kanha national park" ki oor jaayenge.
PROBOT - Ruko vinay,jin missiles ka maine vishleyshan kiya hai unse mujhe aur bhi kuch pata chala hai ?
VINAY- kya ?
PROBOT - In missiles mai paramparagat "ATOMIC FISSION" technique kay saath "ATOMIC FUSION" ka bhi isteymaal hua hai, isliye tum apne saath meri banayi machines bhi lete jao jo parmanu vikiran (radiation)
ko sookh lengi. Tum inhe Kanha national park mai jagah jagah laga dena.
VINAY- OK, Probot, mai bhi nahi chahta ki kanha national park jaisi humari
prakartik darohar ko nuksaan pahunchey.
UNN CHHOTI PAR KARGAR MACHINES KO LEKAR, PRINCE KEY SAATH PARMANU UDD CHALA ANTHONY KI KABR KI OOR.
PRINCE KI EK KARKASHAHAT HI KAAFI THI ANTHONY KAY KABR SEY BAHAR AANE KEY LIYE. PARMANU KEY ROOP MEY VINAY NEY JALDI SE ANTHONY KO SAARI STHITI BATAI.
ANTHONY, PARMANU AUR PRINCE AB KANHA NATIONAL PARK KI TARAF JAA RAHEY THAY.
KANHA NATIONAL PARK KI SEEMA MEY PRAVESH KARTEY HI UNHE K.K. AUR BIRLA DWARA LAGAYE GAYE CLOSE CIRCUIT CAMERAS NEY PAKAD LIYA.
K.K. ney apney atmaghti "SEMI ROBOTS", ko Anthony aur Parmanu ko rokney key liye bheja jo aadhe machini thay aur unka aadha jism marre insaano key avshesho se bana tha. Unka lakshya thay PARMANU AUR ANTHONY, jinsey takrakar unhey blast ho jaana tha.
Sainkdo ki sankhya mey "SEMI ROBOTS", Parmanu aur Anthony ki taraf badh rahe thay.
APNI ISS NAYI MAUT SEY ANJAAN PARMANU AUR ANTHONY "KANHA NATIONAL PARK", KI KHAAK CHHAN RAHE THAY.
SEMI ROBOTS ab Anthony aur Parmanu kay paas pahunch chuke thay,
jinhe dekhte hi Parmanu aur Anthony ko samajh mai aa gaya ki unka raasta utna aasaan nahi hai jitna wo samajh rahe thay. Parmanu apne blasts sey Semi Robots ko khatam karney laga aur Anthony nay bhi unpar apni thandi aag chhodna shuru kar diya.
ANTHONY - Parmanu, tum jaldi se kisi aur raaste se aagey badho, mai inn 'musibato' ko apni thandi aag se sambhal lunga.
PARMANU - Theek hai anthony, mai aagey badhkar musibat ki jad ka safaya karta hu.
ANTHONY NEY PARMANU KO AAGEY BADHNEY KO TO KEH DIYA PAR SEMI ROBOTS KI SANKHYA KAAFI ZYADA THI JO ANTHONY KI THANDI AAG SE RUK TO RAHE THAY PAR UNKA ROBOTIC HISSA UNHEY DHEERE DHEERE AAGEY BADHA RAHA THA. ANTHONY KO UNSE JALD CHUTKARA PAANE KA KOI HALL NAHI SOOJH RAHA THA.
PARMANU AAGEY TO BADHA PAR K.K. NEY USKE LIYE BHI EK NAYI MUSIBAT TAYYAR KAR RAKHI THI, "ROBOTIC PARMANU", KAY ROOP MEY. JO ACHANAK HI AAGE BADHTE PARMANU KAY SAAMNE AA GAYA.
PARMANU KA HAR VAAR KA ROBOTIC PARMANU VAISA HI JAWAB DE RAHA THA AUR PARMANU KA AAGEY JAANEY KA RAASTA BHI RUK CHUKA THA.
PARMANU APNEY ROBOTIC PRATIROOP KO DEKHKAR DANNG THA,
USNEY KABHI AISI KALPANA BHI NAHI KI THI. K.K. NEY SHAYAD ROBOTIC PARMANU KO ISLIYE BHEJA THA KYOKI SHAKTIYO MAI TO PARMANU ROBOTIC PARMANU KAY BARABAR THA PAR
EK INSSANI KAMI HAI JO ROBOTS MEY NAHI HOOTI "THAKAAN",
ROBOTS NAHI THAKTEY PAR INSAAN THAK JAATEY HAI. AB DEKHNA YEH THA KI PARMANU KAB APNI ICHCHA SHAKTI KAY BAL PAR TAK TIK PAATA HAI ROBOTIC PARMANU KAY SAAMNEY.
PARMANU AB VAAR KAR KAR THAK CHUKA THA, "ROBOTIC PARMANU"
HAR VAAR KA JAWAAB DE RAHA THA PAR BINA LAGATAR....BINA THAKEY.
AB PARMANU APNEY BACHAAV KAY ALAWA KUCH NAHI KAR YA SOCH PAA RAHA THA.
PARMANU SOCH RAHA THA KI JISS ROBOT MEY USKEY BARABAR SHAKTIYA HAI USS SE WO KAISE JEET PAYEGA. AB VAAR KARNEY KI BAARI ROBOTIC PARMANU KI THI
AB PARMANU TRANSMIT HUA TO ROBOTIC PARMANU BHI KANNO (ATOMS) MEY BADLA AUR PARMANU KO PATA CHAL GAYA KI TRANSMIT HOKAR BHI WO NAHI BACH SAKTA.
PAR SHAYAD PARMANU KO EK AASHA KI KIRAN DIKHI THI.
PARMANU NEY APNEY HAATH KA PARMANU BRACELET APNI UNGLIYO KAY KINAREY PAR PHASAYA AUR EK BAAR PHIR SEY TRANSMIT HUA.
ISS BAAR JAB ROBOTIC PARMANU PARMANU KAY SAATH TRANSMIT HUA TO PARMANU NEY APNE BRACELET WAALEY KANNO(ATOMS) KO ROBO KAY SHAREER KAY KANNO (ATOMS) MEY MILA DIYA. ISS HALCHAL SE DONO 'PARMANUO' KI DRESS AUR BELT KAY CIRCUIT MEY KHALBALI MACH GAYI AUR ISS GADBADI SE DONO KA CIRCUIT POORA HUA TO UNN DONO KO REFORM HONA PADA AUR PARMANU KA BRACELET ROBOTIC PARMANU KEY SHAREER MEY PHASA HUA THA. ISS GHATNA SE ROBOTIC PARMANU KAY BAHUT SE ANDRUNI NAZUK CIRCUIT JAL GAYE PAR AB BHI USME JAAN BAKI THI.
AB PARMANU NEY BINA MAUKA GAVAYE ROBOTIC PARMANU MEY PHASE APNE BRACELET SEY BLAST KIYA AUR ROBOTIC PARMANU KAY KUCH SOOCH PAANEY SEY PEHLEY HI PARKHACHEY UDD CHUKEY THAY.
K.K. AUR BIRLA AVAAK REH GAYE AUR PARMANU AAGEY BADH CHALA.
PARMANU TO APNI "ROBOTIC PARMANU" NAMAK MUSIBAT SEY PAAR PAA CHUKA THA PAR "SEMI ROBOTS" KAY ROOP MAI MUSIBAT ABHI BHI ANTHONY KEY SAR PAR MANDRA RAHI THI. ANTHONY TELEPORT HO KAR MUSIBAT SEY DOOR JAA TO SAKTA THA PAR AISI MUSIBAT KO WO ROOPNAGAR SEY DOOR HI RAKHNA CHAHTA THA. ANTHONY BAREEKI SEY UNN SEMI ROBOTS KAY SHAREER KA VISHLESHAN KARNEY LAGA AUR USSEY PATA CHALA KI INN ROBOTS KA AADHA SHARIR MURDO KEY HISSO SEY BANA HAI. AUR ITNA VISHLEYSHAN HI KAAFI THA ANTHONY KI SAFALTA KAY LIYE.
SHAYAD ANTHONY KO BHI ISS MUSIBAT SEY PAAR PAANEY KA RAASTA SOOJH GAYA THA.
ANTHONY KHUD SEMI ROBOTS KEY SHARIR SEY TAKRA RAHA THA,
AUR PHIR USKEY SHAREER KAY HISSEY JUD RAHEY THAY AUR ANTHONY LAGATAAR SEMI ROBOTA SEY TAKRATA JAA RAHA THA. JALD HI SEMI ROBOTS KI FAUJ BHI KHATAM HO GAYI.
JAB PRINCE NAY ANTHONY SEY SEMI ROBOTS KO ITNI AASANI SEY KHATAM KARNEY KA KAARAN POOCHA TO ANTHONY NEY BATAYA KI,
"Maine unn semi robots par dhyaan diya to pata chala ki wo aadhey robots aur aadhey murdo kay hisso sey baney thay aur tu to jaanta hi hai prince ki mujhey vaardaan mila hai ki mera shareer agar dushman sey ladai mey shat - vikshat ho jaaye to wo dushman kay shareer kay hisso sey hi mera shareer banta hai, bas mai unn ATAMGHATI SEMI ROBOTS sey takrata gaya aur mera shareer unhi key murda hisso sey banta gaya."
AB ANTHONY BHI BADH CHALA THA ISS "MUSIBAT" KI JADD KO UKHAAD FAIKNEY.
PARMANU PROBOT DWARA DI GAYI VIKIRAN SOKHNEY KI CHHOTI MACHINES KO KANHA NATIONAL PARK MEY JAGAH JAGAH STHAPIT KAR AAGE BADH RAHA THA.
JABKI KANHA NATIONAL PARK MAI AAPNEY ADDEY PAR BIRLA KAY HOOSH UDDEY HUEY THAY.
BIRLA - KK, Wo dono to bach gaye, hum apna ye project kabhi bhi poora kar saktey hai, abhi to yaha se nikalne mai hi bhalai hai.
KK - BIRLA, darr mat abhi baazi humare haath mey hi hai. Wo dono yaha se bachkar nahi jayengey. Ye project to ab unki maut kay saath parvaan chadega.
PARMANU AUR ANTHONY LAGBHAG SAATH HI USS STHAAN PAR PAHUNCHEY JAHA DHANTU (metal) ka kabaad, BUNKER, MISSILE LAUNCHING PAD, dekhkar wo dono samajh gaye ki yahi jagah saari musibato ka gadh hai. Iss se pehle wo kuch karte KK aur BIRLA apne aap unke saamne aa gaye.
PARMANU - KK, mai to pehley hi jaanta tha ki tum hi iss saare shadiyantra kay sootradhaar ho..................
KK - Arrey - Arrey bhaanje gussa kyu karta hai itney dino mama se door raha thodi baatey to kar le. Le mere naye saathi se mil ye hai BIRLA ye poora project ye hi chala raha hai, mai to bas iski madad kar raha tha.
Bahut accha insaan hai ye.........areey aashirwaad le hum dono se.
Aur ye kaun hai tere saath ? Zaroor Roopnagar ka koi subhchintak hoga.
ANTHONY - Mama ji, pranaam, mujhe Anthony kehte hai........kaafi suna hai aapkey baare mey.
PARMANU - KK, ab tera project fail ho gaya samajh, ab tu bach nahi sakta.
KK - Suna BIRLA..............mera bhaanja zara pagal hai, bachna to tumnhe hai mere pyare bhaanje........wo bhi apne dost sey. Birla zara inhe mera banaya intezaam to dikhao.
ITNA SUNTE HI BIRLA NAY KAI CHHOTEY CHHOTEY YANTRA ANTHONY KI TARAF UCHCHAL FAINKEY KUCH YANTRO SEY TO ANTHONY BACH GAYA PAR KUCH USKEY SHAREER MAI DHANNS GAYE.AUR ANTHONY ACHANAK HI PARMANU PAR VAAR KARNEY LAGA.
PARMANU ACHANAK HUEY HAMLEY SE AVAAK THA AUR BACH NAHI PAAYA. GHATAK THADI AAG MEY PARMANU PHAS CHUKA THA AUR TADAP RAHA THA, PRINCE NAY ANTHONY KAY SHAREER PAR CHOT KARKEY EK PAL KO USKA DHYAAN BATAYA AUR PARMANU KO BACHNEY KA MAUKA MIL GAYA. PAR ANTHONY NAY PRINCE PAR VAAR KARKEY USSEY BHI ACHET KAR DIYA.
KK- Wah, badi adbhut shaktiya hai isme to... iss se pehle ki ye tumhe maar de mere bhaanje mai tumhe tumhari maut ka karan bata du.
Iss Anthony kay shareer sey chipkey yantra issey control kar rahey hai aur iski scientific aur natural powers ko badhakar vaar bhi kar rahe hai.
Ye sab mere issi project ki dain hai jo atomic fusion aur fission ka mail hai. Chal ab baatey bahut ho gayi marney ki tayari kar............apni mami ko meri namastey kehna.Tu har baar bach jaata hai iss baar teri maut ka manzar dekh kar hi yaha se jaaunga
ANTHONY KI AATMA APNEY SHARIR KO NIYANTRIT KARNEY KI NAKAAM KOSISHEIN KAR RAHI THI. KK KAY YANTRA USKI SHAKTIYO THADI AAG, TELEPORT KA ISTEYMAAL AUR BHI GHATAK ROOP SEY KAR RAHEY THAY AUR PARMANU THADI AAG SEY BACHNEY KI BHARPOOR KOSISH KAR RAHA THA KYOKI THADI AAG MAI DOOBARA PHASNEY KA MATLAB WO JAANTA THA......EK DARDNAAK MAUT.
PARMANU APNE VAARO MEY KAMI NAHI KAR RAHA THA KYOKI WO JAANTA THA KI ISS WAQT ANTHONY KA APNEY SHARIR PAR KOI CONTROL NAHI THA. PARMANU NAY ANTHONY KO PARMANU RASSIYO MEY JHAKDA PAR ANTHONY AASANI SEY TELEPORT HOKAR RASSIYO SEY NIKAL GAYA.
PARMANU KAY BLASTS AUR PARMANU CHHALO SEY BHI ANTHONY UDD KAR BACH RAHA THA. AGAR PARMANU KA KOI VAAR ANTHONY KO LAG BHI JAATA TO BHI USPAR KHAAS ASAR NAHI PAD RAHA THA. PARMANU KAAFI DAIR TAK LADNEY KAY BAAD THAK KAR CHOOR HO GAYA THA AUR ANTHONY NIRANTAR VAAR KAR RAHA THA.
PARMANU KI HAALAT KO BEABS HOKAR DEKHNE KAY ALAWA ANTHONY KI AATMA KUCH NAHI KAR SAKTI THI. PROBOT BHI TRANSMETER PAR PARMANU KI CHEEKHEIN SUN KAR TADAP UTTHA AUR GHATNA STHAL KI AUR BADH CHALA PAR PROBOT KO WAHA PAHUNCHNEY MEY ABHI WAQT LAGNA THA, AUR PARMANU KAY PAAS KHUD KO BACHANE KAY LIYE WAQT KI SAKHT KAMI THI.
PARMANU NEY APNI ZINDAGI BACHANE KAY LIYE AAKHRI DAAV KHELA, PARMANU NEY POOREY ANTHONY KAY SHAREER KO APNI PARMANU RASSIYO MAI JAKAD LIYA. AUR ANTHONY PAR PARMANU RASSI KI KAI PARAT CHADTI CHALI GAYI. AB PARMANU RASSI KAY MAZBOOT KHOL MEY LIPTA ANTHONY KA SHAREER NAA DEKH PAANEY KAY KAARAN TELEPORT NAHI HO SAKTA THA PAR ANTHONY KAY SHAREER NAY PARMANU KI RASSI KAY SOTRA (SOURCE) KI TARAF THANDI AAG CHHOD DI THI AUR PARMANU THADI AAG MAI JAKADA JAA CHUKA THA. AB PARMANU KO BLAST KARNEY KAY LIYE EK BUTTON AUR DABANA THA PAR THANDI AAG SEY TAPADTA PARMANU APNEY HOSH KHOO RAHA THA. PHIR BHI APNI DRAD ICHCHA SHAKTI KA PARICHAY DETE HUEY PARMANU NEY WO BUTTON DABAYA AUR PARMANU RASSI MAI LIPTA ANTHONY KA SHAREER PARMANU BLASTS SEY NAHA GAYA AUR USKA MAANS PHIGHALNEY LAGA AUR APNE SHAREER KA SAATH CHHODNEY LAGA. ISSI KAY SAATH USKEY MAANS MEY DHAANSEY KK DWARA BANAYE YANTRA BHI NIKAL GAYE. AB ANTHONY KA SHAREER HADDI KA DHANCHA BAN CHUKA THA. PARMANU YE LADAI BHI JEET CHUKA THA. ANTHONY NAY PHIR SEY APNEY KANKAAL ROOPI SHAREER PAR NIYANTRAN PAA LIYA.
ISS BAAR AVAAK HONAY KI BAARI KK AUR BIRLA KI THI,
PARMANU KO HOSH SAMBHALNEY MEY THODA SAMAY LAGNA THA LEKIN ANTHONY KK AUR BIRLA KI JAAN BAKSHNEY KAY MOOD MAI NAHI THA
ANTHONY- Mama ji, ab aapka khel khatam..........
HADDIYO KAY DHAANCHEY KO BAAT KARTEY DEKH KK AUR BIRLA KAY HOSH UDD GAYE.
KK aur Birla agar darr se jadd bhi naa huey hotay to bhi wo Anthony kay krodh se bachne kay liye kuch naa kar paate. Kankaal mey badla Anthony unn dono par koi reham nahi kar raha tha. KK aur Birla ko sakshat maut dikhai de rahi thi. Anthony nay unhe apni thandi aag mey jakad liya. Tadapte huey apni jaan bachane ki ek kosish aur ki aur apne hosh sambhaal rahe Parmanu ki gardan ko apne haath mey fit yantra se jakad liya.
KK - Ru...ruk jaa varna tera dost bhi maara jaayega.
Anthony par KK kay shabdo ka jadoo sa asar hua aur wo shant ho gaya. Parmanu ko ab bhi KK nay apne machini shikanje se kaskar jakad rakha tha.
KK - Jaa, Birla, reactor ka wo button daba de jiss se sirf fusion prakriya chalu ho jaaye aur dheere dheere aniyantrit fusion uss seema tak pahunch jaaye ki kum se kum poora Roopnagar khatm ho jaaye. Yaha se nikal kar hum apne maksad ki phir se ek nayi shuruat karenge. Birla nay reactor kay paas pahunchkar fusion prakriya ko shuru karne waala button daba diya.
Tabhi KK ka machini shikanja Parmanu ki gardan se hatkat nishkriye hokar gir jaata hai. Ye kaarnama tha Probot ka jisne ye sab jammer ki madad se kiya tha aur Parmanu ki madad kay liye wo waha pahunch chuka tha. Parmanu bhi ab tak apne hosh sambhal chuka tha.
Anthony, Parmanu aur Probot ka khatra dekh KK turant waha se transmit ho gaya aur ab tak reactor kay paas muskura raha Birla phir se darr se kaampney laga. Anthony ki thandi aag se wo jald hi behosh ho gaya.
Lekin samasya pal pratipal vikral roop dhaaran kar rahi thi. Probot nay samasya ki gambheerta se Anthony aur Parmanu ko avgat karaya.
Probot - Aniyantrit fusion nuclear blast aas paas kay bahut bade elake ko nigal sakta hai.
Anthony - Probot ko lekar tum yaha se nikal jaao, Parmanu. Roopnagar aur aas paas kay elake kay jitne logo ko bacha paao bacha lo. Mai apni thandi aag se iss reactor ko dhakk leta hun.
Probot - Aisa karne se iss dhamake par zyada asar nahi padne waala, Anthony.
Anthony - Kuch to asar padega....ab Anthony ka wajood Roopnagar kay saath hi fanaa hoga. Parmanu, ho sake to mere parivaar ko bhi bacha lena.
Parmanu - Ye kaisi baatein kar rahe ho, dost, iss samasya ka koi naa koi to hall zaroor nikalega.
Anthony - Aisa honay se pehle hi shayad sab khatm ho jaayega. Meri baat maano yaha se chale jaao, dost, Delhi ko bhi tumhari zaroorat hai.
Parmanu - Dost bhi kehte ho aur saath chhodne ki bhi baat karte ho.
Idhar Parmanu, Probot aur Anthony, iss samasya ka hall soch rahe thay aur udhar reactor mey fusion prakriya apne charam par pahunch rahi thi.
Kuch dair baad Parmanu nay chuppi todi.
Parmanu - Probot, fusion to bahut hi samvedansheel prakriya hoti hai naa ?
Probot - Haan.
Parmanu - Aur ye prakriya bahut hi niyantrit vatavaran mey hoti hai.
Probot - Haan, bilkul.
Parmanu - Yaani agar iss reactor kay niyantrit vatavaran mey zara sa badlaav kar diya jaaye to ye parkriya halke dhamake kay saath ruk jaayegi.
Probot - Agar aisa hua to iss National park ka kuch hissa hi iss nuclear dhamake ki chapait mey aayega. Saath hi yaha lagi radiation (vikiran) sookhne ki machines se Roopnagar aur uske aas paas kay shetra dhamake aur vikiran se bach jaayenge. Par iss bade nuclear fusion reaction mey zara se badlaav kay liye liye kisi Parmanu urja kay srotra ki zaroorat hai. Par tum karna kya chahte ho ?
Parmanu - Meri dress aur belt mey Parmanu urja ka bhandaar hai. Agar mai udta hua iss reactor kay Kendra se takra jaaun to fusion prakriya halke dhamake kay saath khatm ho jaayegi aur ek bada vinash honay se bach jaayega.
Probot - Ruk jaao, Parmanu, iss tarah to tum bhi maare jaaoge. Bina kisi ki jaan jaaye iss samasya ka samadhan sochna hoga.
Parmanu - Probot, samay nikalta jaa raha hai. Mujhe jald se jald nikalna hoga varna kya pata ki ye reaction uss seema tak pahunch jaye meri dress aur belt ki parmanu urja bhi iss nuclear fusion prakriya ko aniyantrit naa kar paaye aur agar kar bhi de to uss se honay waala nuclear blast apne saath bade shetra ko khatm kar sakta hai.
Clip - [ANTHONY - Kya aur koi rasta nahi hai, parmanu ?
PARMANU - Shayad yahi rasta bacha hai, anthony, ab tum hi probot ka khayal rakhna, agar meri maut se hi roop nagar bachega to mai
khushi - khushi apni jaan dunga. ab to mai bhi tumhare parivar ka hissa hu.]
Kuch dair baad Parmanu apne haatho mey besudh pade Birla ko liye reactor kay kendra ki taraf udd raha tha. Anthony aur Probot shayad sachchai ko maankar waha se surakshit sthaan chale gaye thay. Parmanu reactor kay kendra se takraya aur ek bhishan dhamake mey uske aur Birla kay shareer kay chhithade udd gaye. Lekin uske iss balidaan nay ek bahut badi vinashleela honay se bacha li.
To kya manavta kay liye ye Parmanu ki aakhri udaan thi aur Parmanu ab kabhi nahi aayega ?
Idhar Vinay aur Probot surakshit sthaan se uss dhamake ka manzar dekh rahe thay. Nuclear blast ki jagah par ek aakriti roop le rahi thi. Kya rahasya tha ye.....Vinay kaise bach gaya aur wo kaun si aakriti thi ?
Kuch dair pehle, ->
Quote Clip :
[ANTHONY- kya aur koi rasta nahi hai, parmanu ?
PARMANU- shayad yahi rasta bacha hai, anthony, ab tum hi probot ka khayal rakhna, agar meri maut se hi roop nagar bachega to mai
khushi - khushi apni jaan dunga. ab to mai bhi tumhare parivar ka hissa hu.]
Anthony- Ruko, Parmanu, ek raasta aur hai. Mai tumhari Parmanu dress aur belt pehankar iss nuclear reactor mey jaata hun.
Parmanu - Anjaam to wahi hoga.....beeshan visphoot se meri jagah tum nasht ho jaaoge.
Anthony - Mujhe vardaan hai ki agar mera shareer kabhi nasht ya shat vikshat hota hai to mere shareer kay nasht huey hisse mere dwara maare gaye mere dushman kay shareer se dobara ban jaate hai. Mai behosh Birla ko lekar reactor kay kendra se takra jaaunga aur fusion prakriya beech mey hi aniyantrit hokar visphoot kar degi. Mera shareer Birla kay mrit shareer se dobara roop le lega. Ab dair mat karo, Probot kay saath tum yaha se door chale jaao. Mere vaar se Prince behosh ho gaya tha usse bhi yaha se le jaao. Mai jald hi tumse milunga.
Probot- Anthony nay apna kaam kar diya hai, Vinay, usne uske Roopnagar ko vinash se bacha liya.
Vinay - Uska Roopnagar nahi humara Roopnagar kahiye. Dukh to iss baat ka hai ki Prof. Kamal Kumar bach nikla.
Anthony unke paas vijayi muskaan kay saath pahuncha. Khatre kay baadal ab chhat chuke thay. Vinay nay Anthony ko galey se laga liya. Phir Kanha National Park kay kuch hisse mey lagi aag bujhakar wo teeno Roopnagar ki taraf badh chale.
Khatra tal chuka tha aur Delhi kay prati Vinay aur Parmanu ki zimmedariyan usse waapas bula rahi thi. Vinay nay Probot kay saath apne naye parivaar se vida li aur vaayda kiya ki jab bhi unpar mushkile padengi Vinay "apno" ka saath dene zaroor aayega. Usne King ko Delhi ghumane ka bhi vaayda kiya. Anthony aur Parmanu phir se apradh kay vinash ki apni apni raah par chal pade.
The End.
No comments:
Post a Comment