अंतरजाल की दुनिया और जीवन में मोहित शर्मा 'ज़हन' के बिखरे रत्नों में से कुछ...

Sunday, May 20, 2012

Dwand (Parmanu & Super Commando Dhruv)




 Story Ad posted on now defunct Raj Comics Forums (November 2007)

Jalstarr badhne kay kaaran tatiye Bharat (saath mey Rajnagar) doob raha hai.Idhar Delhi aur aas-paas kay rajya jaanleva mahamari se jhoojh rahein hai.

Bahut bade shaydiyantra ko vifal karne akdoosre se anjaan Dhruv aur Parmanu pahunch chuke hai iss samasya ki jadd Andaman Nicobar dweep samooh par jaha kay 2 kabilo nay unhe sweekar bhi kar liya hai.Waha aakar wo dono phas gaye hai kabilo ki chhoti-chhoti samasyao mey aur yaha badh rahi Bharat kay vinash ki samaysa.

Kya Dhruv aur Parmanu mey se kisi ka prayaas safal hoga ?

Kya Andamaan Nicobar dweepsamooh par akdoosre ki maujoudgi ka unhe pata chalega ?

Kaun hai iss shadiyantra kay peeche ?

Bharat ki samasya kay saath kya inn 2 kabilo ki samasya bhi suljhegi ?

Bharatvaasi pehle uss mahamari se marenge ya badhte jalstarr se ?

Kaisa hai ye......Dwand ?
---------------------------------------------

Prastut hai kahani ka doosra Ad.

Rozen Kabila aur Warta Kabila....ye 2 padosi kabile aapsi matbhedo aur ladaiyon kay liye jaane jaate hai. Dhruva ko apnaya Rozen kabile nay jabki Parmanu ko Vinay kay roop mey panaah mili Warta Kabile mey.

Dhruva wahan pehle pahuncha jisne apne kaushal se Rozen kabile kay sardaar ka dil jeeta aur wahan rehne kay liye kabile kay sardaar ki aagya paa li. Dhruva uss kabile ki chhoti-moti samasyaon ko suljha kar wahan kay logo kay dilo mey apna sthaan aur pakka karne mey lag gaya. Rozen Kabile mey samajhdaar Hindustaani shehari kay honay ki khabar poore dweep samooh kay kabilo mey fhail gayi....shayad yahi wajah thi ki Vinay ko Hindustaani shehari honay ki wajah se Warta Kabile mey apne aap sharan mil gayi. Kabilo mey reh kar wahan ki sthaniye samasyaon ko suljhane kay saath-saath Vinay aur Dhruva apni tehkikaat bhi jaari rakhe huey thay.

Badhte huey samudri jal-starr ki wajah se Andaman Nicobar Dweep Samooh kay sabhi kabilo mey shudh peene kay paani ki zabardast killat honay lagi. Warta aur Rozen Kabilo ki paani ki zaroorat ko ek hi paani ka bada talaab poori karta tha. Par ab paani kay liye aaye din dono kabilo kay waasiyon mey tanaav aur hinsak jhadape honay lagi.

Wahan kay kabilo ki ye pratha thi ki koi vivad honay par dono kabilo kay sarvashrestha 50-50 yoddhao mey tab tak yuddh hoga jab tak ek kabile kay saare 50 yoddha maare naa jaaye.....vivad ka nirnay jeetne waale yoddhao kay kabile kay paksh mey hota tha. Buzurgo kay anusaar peechli baar aisa yuddh inn kabilo mey 75 saal pehle hua tha jisme dono kabilo kay aadhe se zyada purush maare gaye thay. Kabilo ki jansankhya kay hisaab se iss baar to sthiti aur zyada vikat thi. Yuddh ka din aaya aur Vinay, Dhruva apni lakh kosishon kay baad bhi yuddh kay nirnay ko nahi rukva sake. Dono taraf kay 100 yoddhao mey khud Vinay aur Dhruva bhi shaamil thay.

Doosre kabile mey shehari honay ki khabar Vinay aur Dhruva ko bhi thi. Yuddh mey aamne saamne aaye Vinay nay Dhruva ko turant pehchaan liya par Dhruva nay Vinay ko shaq ki nigaaho se dekha.....Dhruva ko laga ki Bharat mey ho rahi samasyaon ka sambandh Vinay se ho sakta hai.

Yuddh shuru hua....Dhruva aur Vinay apne vaaro se doosre kabile kay yoddhao ko jaldi-jaldi behosh karne lage taaki ye yoddha aapas mey ek-doosre ki jaan naa le le. Kuch dair baad, aakhirkaar behosh 98 yoddhao kay beech 2 yoddha bache thay......ab aamne saamne thay Vinay aur Dhruva. Sthiti se nipatne ka ab dono ko koi raasta nazar nahi aa raha tha. Kisi ek kay haarne ka matlab hoga ek kabile ka peene kay paani se vanchit ho jaana.

 

No comments:

Post a Comment