अंतरजाल की दुनिया और जीवन में मोहित शर्मा 'ज़हन' के बिखरे रत्नों में से कुछ...

Wednesday, June 20, 2012

Aatankvadi Bankey Lal

  आतंकवादी बांकेलाल

Aatankvadi Bankey Lal
Year - 2007 (Originally Posted on Raj Comics Forums)
Story Attributes
Genre - Adventure
Characters - Bankey Lal
Other Characters - Barood Ibrahim (Bankey Lal Himself), Vali Vali Khan (Vikram Singh)
Status - Complete

Bankey  Lal ki comics mainly 1 hi concept par saalo se aa rahi hai. Vikram Singh ko apne shadiyantro mey uljha kar Bankey Lal Rajpaath chahta hai. Ab tak RC kay hasya samrat ki comics iss theme se juddi rahi hai. Lekin beech mey ek series aayi thi jisme Bankey Lal alag alag yoniyon mey janm leta hai jo bahut prasiddh hui thi aur aaj bhi yaad ki jaati hai. Maine socha hai ki Bankey Lal ki kahaniyon ki iss theme ko usse kuch samay kay liye bhavishya mey laakar dobara isteymaal kiya jaa sakta hai. 
Itne lambe samay se Raja ban ne kay asafal prayaso ki wajah se Bankey Lal niraash hokar ekant ki talaash mey padosi rajya 'Smallgadh' kay jungle mey chala jaata hai. Uss jungle mey usse Modern Muni (ya Trendy Baba) kay baare mey pata chalta hai jo bhavishya kaal se kuch bhi iss kaal mey laa sakte thay aur yahan se kisi ko bhi bhavishya mey bhej sakte thay. Tab Bankey Lal unke aashirvaad ya chamatkaar se rajya paane kay laalach mey padkar Modern Muni ka chela ban kar unki seva mey lag jaata hai aur dheere dheere unke ashram kay aadhunik upkaran jaise Television, Washing Machine,
A. C. , Refrigerator, etc. ko sambhalne kay saath saath unke accounts aur shishyo ko bhi manage karta hai.
Lekin Modern Muni ki shishyaein (females) lagataar Bankey Lal kay upar chedkhaani...eve teasing...kay aroop lagati hai. Saath hi Bankey Lal ashram kay accounts mey bhi gadbadi kar raha tha.  Ek din to Bankey Lal ki laparwahi se ashram kay power plant mey short circuit ho jaata hai aur poore ashram mey aag lag jaati hai.
Bankey Lal se pehle se hi krodhit Modern Muni usse shaap dete hai ki ab wo bhavishya mey jaakar har line of work, vibhaagon (Departments, Professions) mey jaakar wahan kay taur tareeke dhang se seekhega tab waapas aayega. Itne mey Bankey Lal ko dhoond ta hua Vikram Singh unke saamne aata hai aur saara ilzaam apne sar le leta hai ye keh kar ki usne hi Bankey Lal ko bheja tha ashram kay vinash kay liye isliye shaap usse milna chahiye Bankey ko nahi. Modern Muni kehte hai ki kutilta dono nay ki hai aur galti dono ki hai isliye dono saath bhavishya mey jaayenge jahan har vibhaag mey Vikram Singh Bankey Lal ka superior hoga, iss kaal ki tarah.
Muni ka shaap kuch aesa tha ki wo dono achanak kisi Vibhaag mey prakat honge jahan unke aur vibhaag kay logo kay dimaag mey ye rahega ki ye dono pehle se hi wahan ka atoot hissa hai. Wahan inki samay avdhi poori honay kay baad sabki yaadshat se inke kiye kaamo ka credit ya criticism sangathan kay kinhi aur pramukh logo mey bant jaayega.
Modern Muni kay shaap se Bankey Lal aur Vikram Singh bhavishya mey pahuchte hai aur pehle bante hai Pakistan Occupied Kashmir mey based ek Bharat virodhi Aatankvaadi sangathan kay karta dharta. Vikram Singh uss sangathan ka head hota hai aur Bankey Lal uska Chief Advisor (jo uss sangathan ka head banna chahta hai par kai koshishon kay baad bhi ban nahi pata hai). Bhagwan Shiv ji ka shaap yahan bhi Bankey Lal kay saath tha. Tab Vikram Singh ban jaata hai Vali Vali Khan aur Bankey Lal ban jaata hai Barood Ibrahim.
Atiutsah mey wo Bharat par hamla karte hai jisme unhe apne kai ladake gawane padte hai. Kuch pakde gaye ladako ko chhudane kay liye Barood Ibrahim Kashmir se badi hastiyon ko kidnap karne ka plan banata hai. Wahan Himesh Reshammiya, Bappi Lahiri aur Music Director Pritam ka concert chal raha tha…Barood un teeno ko kidnap kar leta hai. Phir unke badle Bharat Sarkaar se apne pakde gaye apne saathiyon ko chhodne ki maang karta hai. In kidnappings se andar se khush Bharat Sarkaar ki taraf se koi jawab nahi aata. Haan, Bhartiye media aur log Barood Ibrahim ka dhanyavaad dete huey un teeno ko hamesha kay liye apne paas rakhne ko kehte hai. Pareshaan aur beizzat Barood Ibrahim, unko waapas bhej deta hai (Bappi Lahiri ka saara sona lene kay baad).
Bhartiye sainiko ki raids kay darr se wo aksar apna thikana badalte rehte thay. Atyadhik tanav, aniyamit dincharya aur kum khan-paan se hasht-pusht Vali-Vali Khan kamzor ho gaye thay. Tab koi unhe Bharat ki tarah military aur baaki forces mey Computer pranali isteymaal karne ka sujhaav deta hai. Barood Ibrahim apni sanstha kay liye Pakistan se bahut dhan jutata hai aur hazaro Pakistani ladako ko computer training dilvata hai jismey Pakistani Sarkar kay arbo rupayon ki dhanrashi kharch hoti hai. Iss badi dhanrashi ka kuch hissa Barood Ibrahim gaban kar leta hai. Sabhi ladako ko testing kay liyeAfghanistan mey American Bases kay paas atyadhunik Computer Gadgets, weapons kay saath bheja jata hai. Par kuch dino tak unki koi khabar nahi milti. Baad mey Barood ko pata chalta hai ki wo sabhi ladake “Afghanistan Development Centre” ki wahan faili kai branches mey achchhi jobs mey lag gaye hai. Baakiyon ko nikattam videshi companies nay kaam par rakh liya hai.
Wo aur unke 5-6 bache huey aatankvaadi Bharat ki seema mey kaafi andar aane ki wajah se fhans jaate hai. Wo ek pahadi gaon kay kareeb jungle mey sharan lete hai jahan guzaara chalane kay liye Barood gaon kay kabadi waale se khaaton, charpaiyon ki rassi aur purane Cricket Helmets kiraye par leta hai. Phir wahan se jaate cargo vahano par pahadi chhatano se “Bungee Jump” karke jo bhi milta tha utha laate thay. Ek baar Barood Ibrahim nay Murgiyan le jaa rahe cargo mini-truck par Bungee Jump ki aur murgiyon kay pinre todta hua wo unhi kay beech fas kar Indian Army kay Officer’s Mess (Bhojanalay) mey chala gaya jahan wo vahan jaa raha tha. Sandeh honay par uss se puchh tachh ki gayi jisme usne apne saathiyon ko pakadvaya aur Pakistan Adhikrit Kashmir kay baare mey kai khufia jaankari Bharatiye Sena ko di. Iss tarah uska pehla adventure samapt hua aur unka Aatankvadi banne ka maksad poorna hua aur unka avtaran doosre profession mey eksaath hua.
Kuch professions mai yahan likh raha hun. Mujhe lagta hai ki ye nayi, dumdaar aur bahut lambi chalne waali popular series ban sakti hai.
Travel Agency Owner – Tourist Guide,
Senior Forest Officer – Ranger,
Sports Coach – Supporting Staff Member,
Marketing Manager – Salesman,
Doctor - Ward Boy,
Publisher – Journalist or Writer,
Director - Assistant Director,
Minister – Secretary or Public Relation Officer,
Inspector - Constable,
Bank Manager – Clerk,
Scientist – Lab Assistant,
Pilot - Flight Steward,
Mandir Pujari – Cleaner,
College Principal - Professor,
Embassy Staff Member – Embassy Peon,
Private Security Firm Owner – Security Guard,
Choreographer – Group Dancer,
Circus Ringmaster  or Owner – Joker,
School Principal - Teacher,
Train Driver - Train Guard,
Chairman - Member of Board of Directors.
Ye ranks story kay hisaab se badal sakti hai.
Please give your valuable suggestions on this Comic Series Idea. I am not revealing few scenes written for this comic series…please bear with me.

- Mohit Sharma "TRENDSTER"

No comments:

Post a Comment