I wrote these ideas in 2006 on RC website...ab to bachcho waala fan-fic lag rahe hai ye...he he
1) - Lethal Lazers
Bharat pehle se hi videsho ki missiles aur bade hathiyaaro kay daayre mey tha aur ab Dushman desho nay atyadhunik "Satellite Guided Lazer" jo antriksh se dharti kay kisi bhi hisse par ghatak Lazers ka hamla kar sakne me sakhsham hoti thi ka viksit roop ijaad kar liya tha jo antriksh se hi Bharat kay kai hisso mey ak saath tabahi macha sakti tha.
Inn baato ko dhyaan mey rakhkar Bharat kay vaigyaniko kay ak dall nay din raat ak karke poore Bharat ko har samay lazer rays kay jaal sey surakshit rakhne kay project par kaam karna shuru kar diya jiska naam rakha gaya "Lazer Net". Iss lazer Net ko energy dene kay liye Solar Energy ka isteymaal kiya jaa raha tha aur raat kay samay kay liye bhi solar energy kay upyukt bhandaran ki vyavastha bhi ki gayi thi.Inn sab baato se videshi bhi bekhabar nahi thay aur jald hi iss project par kaam kar rahe sabhi vaigyaniko ko ak bomb dhamake mey maar diya gaya.Halaki,Bharat ko lazer kirno se dhakne ka project kaafi hadd tak poora ho chuka tha par lazer kirno ka wo jaal bahut kamzoor tha.Probot nay iss project ki dekh raikh ka zimma utthaya par wo bhi lazer rays kay jaal ko mazboot nahi kar paa raha tha kyoki iss project ka saara gyaan iss se judde vaigyaniko kay marne kay saath hi khatm ho chuka tha kyoki ye ak atyant gupt project tha aur iss kaaran vaigyaniko nay saari baatien khud kay dimaago tak hi simit rakhi thi aur unka kahi bhi ullaikh nahi kiya tha.
Project se judde sabhi logo ko maarkar dushman desho kay hoonsle bulandi par pahunch gaye aur unhone jung ki shuruat karte huey Bharat ki rajdhani Delhi par ak saath kai missiles ka hamla kiya.Kamzoor Lazer Net ak bhi missile ko nahi rook paaya.Lekin Parmanu aur Bhartiye Sena nay sabhi hamlo ko naakaam kar diya.Par khatra abhi tala nahi tha,Raksha Agencies ko pata chala ki ab bharat par ak saath missiles aur Satellite Guided Lazer ka hamla hoga taaki Parmanu bhi aksaath huey inn hamlo ko naa rook paaye.
Probot ka vishvaas ab "Lazer Net" se utth chuka tha, Sarkaar nay bhi deshvaasiyo ko aapaatkaalin sthiti kay liye tayaar honay ka sandesh diya.
Sabhi log darre huey thay aur Vinay Probot ki lab mey uss se vichaar vimarsh kar raha tha.Bhartiye Sena bhi yuddh kay liye apni kamar kass chuki thi.Parmanu nay antriksh mey jaakar unn satellites ko bekar karne ki kosish ki par unke charo taraf bhi pehle se hi solar net laga hua tha jiske paar Parmanu ki koi shakti nahi jaa paa rahi thi.Isliye Satellites ko nishkirya karne ki yeh yogna vifal ho gayi.
Jabki idhar hamla ho bhi chuka tha.Dushman desho ki missiles aur Satellite Guided Lazers ka hamla ho chuka tha par Parmanu pehle ki tarah sirf missiles kay hamle ko rook raha tha.Guided Lazers par usne dhyaan nahi diya tha.Hamla asafal ho gaya........jabki Parmanu nay sirf Missiles ka hamla hi vifal kiya tha.
Sabhi kay liye ye ak aashcharya tha ki Satellite Guided Lazers ka hamla safal kyu nahi hua.Ye hamla kaise vifal hua Probot isko sarvaganik nahi honay dena chahta tha taaki dushmano ko Bharat kay iss bachaav abhiyaan ka pata naa chal paaye aur bhavishya mey wo isko dhyaan mey rakhkar koi doosri chaal naa chale.Probot nay raksha vibhaag ko bheji apni gupt report di jisme usne bataya ki hamle ki khabar sunkar wo niraash ho gaya aur phir Parmanu nay usse salah di jisme usne Probot ko samjhaya ki Poore Bharat mey faila Lazer Net kamzoor tha par radar par kai jagah ho rahe lazer hamle ki chaitavni kuch seconds pehle hi mil jaati hai aur inhi seconds mey wo Lazer Net ko poore bharat se hatakar sirf unn sthano aur unke aas paas ki jagaho par kaindrit kar deta tha jaha ki tarah antriksh sey Lazers aa rahi thi. Jis se uss Lazer Net ka ghanatva(Density) aur hamla sehne ki shakti pehle sey kai guna badh jaati thi aur wo Lazer hamlo ko aasani se rook leta tha.Lazer Net Super Computer chaalit tha jisse khud Probot operate kar raha tha isliye har nirnay miliseconds me liya aur laagu kiya jaa raha tha jis sey har lazer hamle se kuch seconds pehle hi uss sthaan aur uske aas paas kay shetro par lazer net lag jaata tha.Agar ak saath kai lazer kirno kay hamle bhi hotay thay tab bhi Lazer Net ki karya shamta par zyada asar nahi padta tha kyoki wo kuch sthaan jin par hamle aksaath hotay thay poore desh kay muqable bahut chhote thay. Baaki missiles kay hamle to Parmanu aur Bhartiye sena nay pehle ki tarah sambhal liye thay.
Ab tak Parmanu nay bhavishya mey inn hamlo ko taalne kay liye bhi ak hall nikal liya tha.Antriksh mey jaakar Parmanu nay unn sabhi satellites ko apne Parmanu chhallo kay aavran se dhakk diya aur phir unn sabhi Parmanu chhallo se dhakki satellites ko apni shakti se prithvi ki kasha kay bahar sudur antriksh mey bhej diya.
The End!
2) - "Transmit"
Ek sanki scientist apne hi do bachcho (Neeraj aur Sunil) par bahut atyachaar karta tha aur usne unn dono par experiment karke unke Atomic Structure ko viksit kar diya jiss se uske dono bachcho ko kuch dair tak gayab ho sakne ki shakti prapt ho gayi.
Thoda bada honay par unn dono ko apni iss shakti ki ahmiyat pata chali.Apne pita kay atyachaaro ka jawab ak din unn dono nay unhe jaan se markar diya.Apne khatarnak mansoobo kay saath unhone Delhi shehar ko lootna shuru kiya.
Loot aur chori ki baad ka ye silsila badhta gaya.Inspector Vinay nay unhe pakad hi liya tha ki wo gayab ho gaye.Itne dino mey pehli baar koi Police waala unhe pakadne mey safal hua tha par aise pakadne aur naa pakadne mey koi antar nahi tha.Aisa kai baar hua ki Parmanu ko dekhte hi wo dono lutere gayab ho gaye aur Parmanu haath malta reh gaya.
Parmanu ab satark tha aur Probot se usse jald hi khabar mili ki ak johri ki dukaan par shaanti to thi par waha ka secret alarm jo police station aur Probot ki lab se judda tha baj raha tha.Parmanu waha pahuncha to usse 2 sadharan se vyakti dukaan kay andar sabhi ko aadesh dete huey se lage.
Parmanu kay andar aane par wo dono gayab ho gaye Parmanu bhi uss dukaan kay akmatr darwaze par Transmit ho gaya.Transmit ho chuke Parmanu ko apne shareer kay kano(Atoms) kay paas do sanghathit adrashya kano ki aakritiya dikhi.Parmanu nay apne bracelet kay atoms ko unme se ak aakriti(Neeraj) kay bahari hisse kay atoms mey mila diya aur jab wo aakriti kuch dair baad reform hui (apne asli roop mey aayi) to Parmanu ka bracelet uske kandhe me dhasa hua tha aur wo dard se tadap raha tha.Parmanu ko bharpoor vaar karne ka mauka mil gaya aur pehle se hi apne gehre zakhm se tadap raha Neeraj behosh ho gaya.
Iss beech Sunil bhaagne mey safal ho gaya tha.Sunil ka gussa saatve aasmaan par tha. Wo apne bhai ko chhudana chahta tha par pehle wo Parmanu se badla lena chahta tha.
Kuch dino baad apni niyamit ratri gasht par nikle Parmanu ko peeche se zor ka aaghat laga aur wo ladkhadata hua neeche gir pada.Parmanu nay charo oor dekha par usse kahi kuch nahi dikha aur wo samajh gaya ki adrashya Sunil hi ye kaam kar sakta hai.Parmanu nay bhi Transmit honay mey ak pal bhi nahi gavaya aur usse phir Sunil kay atoms ki sangathit aakriti dikhne lagi.Par iss baar Sunil satark tha aur Parmanu kay Transmit ho chuke roop kay peeche se vaar kar raha tha.Adrashya roop kay iss yuddh mey Parmanu ko haani pahunch rahi thi kyoki Sunil to bachpan se iss roop mey lambe samay tak rehne ka aadi tha par Parmanu apne iss roop mey apni koi shakti isteymaal nahi kar paa raha tha.Parmanu agar reform hota to wo apne zakhmo ki ginti naa kar paata.Wo soch raha tha ki Transmit hokar usne apna bhala kiya hai ya bura.
Parmanu dheere-dheere maut ki taraf badh raha tha aur Probot bhi Parmanu ki madad nahi kar paa raha tha.Tabhi Parmanu nay kuch aisa kiya ki jab agli baar Sunil nay Parmanu par chhupkar vaar kiya to usse chhute hi kuch palo baad Parmanu aur Sunil aksaath reform huey.Halaki,Parmanu bhi buri tarah zakhmi tha par Sunil kay shareer par kai jagah infection ho gaya tha aur uske mooh se jhaag nikal rahe thay.Parmanu nay usse gambhir haalat mey hospital mey bharti kiya.
Probot jaan na chahta tha ki Parmanu nay Sunil ko kaise bebas kiya.To Parmanu nay usse bataya ki usne apni belt aur dress ki lagbhag saari nuclear energy uske chhute hi apne uss sthan par sthanatrit kar di aur nuclear atoms Sunil shareer kay atoms se mil gaye.Parmanu kay paas to apne shareer ki raksha kay liye nuclear energy ko control karne kay liye ak yantra tha par Sunil ka sadharan shareer inn khatarnaak atoms ko jhel nahi paaya aur Parmanu ko chhute hi uski ye haalat hui.
The End!
No comments:
Post a Comment