अंतरजाल की दुनिया और जीवन में मोहित शर्मा 'ज़हन' के बिखरे रत्नों में से कुछ...

Wednesday, June 20, 2012

Agent Basanti (Gamraj)

Originally posted on Raj Comics Forums and Website (2007)




Mumbai ka kukhyat mafia sargana Buffal Bhainsal, Yamraj kay divya vahan Vrashabhraj ka bahut bada bhakt tha kyoki uski parvarish bhainso kay tabeley mey hui thi aur ab apne gair kanooni dhandhe bhi wo apne bahut se tabelo ki aad mey karta tha. Uske purkhe Bhainsal parivaar kay log bhi bhainso kay tabeley chalate aaye thay. Apne bade se ghar ko bhi usne tabela bana rakha tha jisme bahut si bhains rehti thi.


Buffal kay gair kanooni kaamo ki bhanak Gamraj ko lagti hai aur woBuffal kay peeche padd jaata hai. Buffal kay gang kay kai aadmi Gamraj,Yamunda aur Shankalu ki wajah se Police dwara pakad liye jaate hai.Buffal bhi Gamraj aur Yamunda se kai baar pit chuka tha.Tang aakar Buffal Vrashabhraj ko prakat karne kay liye aaradhna kartahai. Iss aaradhna mey wo kai ton chaara aur bhusa arpit karta haiVrashabhraj jald hi dravit hokar uske saamne prakat ho jaate hai.

Buffal unse vinti karta hai ki Vrashabhraj har waqt uske saath reh karuski Gamraj, Yamunda aur Shankalu se raksha karein. Vrashabhraj usse samjhaate hai ki wo Yamraj kay vahan honay kay kaaran prithvi par sthairoop se nahi reh sakte. Ye sunkar Buffal unse apne ghar mey Vrashabhraj ki ek divya murti sthapit karvane ki prathna karta hai jo uske ghar mey Gamraj, Yamunda aur Shankalu kay pravesh par rook laga de. Uske ghar mey apni divya murti laga kar aur usse apradh ka raasta chhodne ki salah dekar Vrashabhraj antardhyaan ho jaate hai. Uska ghar Gamraj, Yamunda aur Shankalu proof ban jaata hai. Ab wo apradh ko apne ghar se hi sanchalit karne lagta hai. Police sabooto kay abhaav mey aur Buffal ki rishvat se uske yaha doodh kay utpaad khaane peene kay alawa kuch nahi kar paati thi.Gamraj, Yamunda aur Shankalu ab Buffal ki harkato kay mook darshak ban kar reh gaye thay kyoki wo chahkar bhi Buffal ko rookne kay liye uske ghar mey pravesh nahi kar paa rahe thay.

Buffal kay ghar mey ghuskar wahan se Vrashabhraj ki divya murti laane kay liye Gamraj apne cheley Shankalu ki bhains Basanti ko chunta hai. Yamunda ki madad se Gamraj Basanti ko train karta hai. Basanti ko seekhane kay dauraanYamunda uske kareeb aata hai aur uss se flirt karta hai, jiss wajah se Basanti Yamunda se rooth jaati hai. Training poori honay par Agent Basanti ko murti laane kay mission par bheja jaata hai aur mission ka naam rakha jaata hai "Mission Gobar Ganesh."Buffal kay ghar mey reh rahi kai bhainso mey Agent Basanti aasani se mil jaati hai. Par Vrashabhraj ki murti ek alag kamre mey rakhi gayi thi jahan Buffal kay alawa kisi ko ghusne ki ijazat nahi thi. Par samay kay saath Basanti ko itni saari bhainso ka vishvaas jeetne mey dikkat honay lagi. Sabhi bhains usse ghuspaithiya, gaddaar, etc kehne lagi aur usse waha se bhagane ka prayaas karne lagi, tab Basanti unhe deshpremse paripoorna ek bhaashan deti hai jiss se sabhi bhainso mey deshprem jaag jaata hai aur wo uske saath ho jaati hai. Basanti badi mushkil se uss kamre mey pahunchti hai jaha Vrasabhraj ki murti rakhi hoti hai aur usse apne mooh se utthane ka prayaas karne lagti hai. Par tabhi wahaVrasabhraj pahunch jaata hai. Uss kamre mey Basanti ko dekh Buffal  uske mansoobe bhaamp leta hai aur usse peetna shuru ka deta hai jiss kaaran darr kay maare Basanti uss kamre mey gobar kar deti hai. Gobar uss divya murti par bhi padd jaata hai. Murti Gobar se apavitra ho jaati hai aur uska divya asar bhi khatm ho jaata hai. Yamunda apni mansikshakti se murti kay asar par nazar jamaye issi pal ka intezaar kar raha tha. Wo Buffal kay ghar mey tabela todd entry karta hai aur Basanti ko bachakar Buffal ki pitai shuru kar deta hai. Gamraj bhi aakar uske ghar se tabeley mey chupi bahut se avaidh aur gair kanooni cheeze baramad kar police ko bulata hai. Buffal Yamunda aur Gamraj ki pitai kay darrse iss baar Police ko bina sabooto kay apne sabhi jurmo ka iqbaliya bayaan de deta hai. Basanti bhi Yamunda ko maaf kar deti hai.

The End.

No comments:

Post a Comment