November 2007 on Raj Comics Forums & Blogs.
Ad # 1
Jalstarr badhne kay kaaran tatiye Bharat (saath mey Rajnagar) doob raha
hai.Idhar Delhi aur aas-paas kay rajya jaanleva mahamari se jhoojh
rahein hai.
Bahut bade shaydiyantra ko vifal karne akdoosre se
anjaan Dhruv aur Parmanu pahunch chuke hai iss samasya ki jadd Andaman
Nicobar dweep samooh par jaha kay 2 kabilo nay unhe sweekar bhi kar liya
hai.Waha aakar wo dono phas gaye hai kabilo ki chhoti-chhoti samasyao
mey aur yaha badh rahi Bharat kay vinash ki samaysa.
Kya Dhruv aur Parmanu mey se kisi ka prayaas safal hoga
Kya Andamaan Nicobar dweepsamooh par akdoosre ki maujoudgi ka unhe pata chalega
Kaun hai iss shadiyantra kay peeche
Bharat ki samasya kay saath kya inn 2 kabilo ki samasya bhi suljhegi
Bharatvaasi pehle uss mahamari se marenge ya badhte jalstarr se
Kaisa hai ye......Dwand ?
------------X------------X--------------X----------
Ad #2
Prastut hai kahani ka doosra Ad.
Rozen
Kabila aur Warta Kabila....ye 2 padosi kabile aapsi matbhedo aur
ladaiyon kay liye jaane jaate hai. Dhruva ko apnaya Rozen kabile nay
jabki Parmanu ko Vinay kay roop mey panaah mili Warta Kabile mey.
Dhruva
wahan pehle pahuncha jisne apne kaushal se Rozen kabile kay sardaar ka
dil jeeta aur wahan rehne kay liye kabile kay sardaar ki aagya paa li.
Dhruva uss kabile ki chhoti-moti samasyaon ko suljha kar wahan kay logo
kay dilo mey apna sthaan aur pakka karne mey lag gaya. Rozen Kabile mey
samajhdaar Hindustaani shehari kay honay ki khabar poore dweep samooh
kay kabilo mey fhail gayi....shayad yahi wajah thi ki Vinay ko
Hindustaani shehari honay ki wajah se Warta Kabile mey apne aap sharan
mil gayi. Kabilo mey reh kar wahan ki sthaniye samasyaon ko suljhane kay
saath-saath Vinay aur Dhruva apni tehkikaat bhi jaari rakhe huey thay.
Badhte
huey samudri jal-starr ki wajah se Andaman Nicobar Dweep Samooh kay
sabhi kabilo mey shudh peene kay paani ki zabardast killat honay lagi.
Warta aur Rozen Kabilo ki paani ki zaroorat ko ek hi paani ka bada
talaab poori karta tha. Par ab paani kay liye aaye din dono kabilo kay
waasiyon mey tanaav aur hinsak jhadape honay lagi.
Wahan kay
kabilo ki ye pratha thi ki koi vivad honay par dono kabilo kay
sarvashrestha 50-50 yoddhao mey tab tak yuddh hoga jab tak ek kabile kay
saare 50 yoddha maare naa jaaye.....vivad ka nirnay jeetne waale
yoddhao kay kabile kay paksh mey hota tha. Buzurgo kay anusaar peechli
baar aisa yuddh inn kabilo mey 75 saal pehle hua tha jisme dono kabilo
kay aadhe se zyada purush maare gaye thay. Kabilo ki jansankhya kay
hisaab se iss baar to sthiti aur zyada vikat thi. Yuddh ka din aaya aur
Vinay, Dhruva apni lakh kosishon kay baad bhi yuddh kay nirnay ko nahi
rukva sake. Dono taraf kay 100 yoddhao mey khud Vinay aur Dhruva bhi
shaamil thay.
Doosre kabile mey shehari honay ki khabar Vinay
aur Dhruva ko bhi thi. Yuddh mey aamne saamne aaye Vinay nay Dhruva ko
turant pehchaan liya par Dhruva nay Vinay ko shaq ki nigaaho se
dekha.....Dhruva ko laga ki Bharat mey ho rahi samasyaon ka sambandh
Vinay se ho sakta hai.
Yuddh shuru hua....Dhruva aur Vinay apne
vaaro se doosre kabile kay yoddhao ko jaldi-jaldi behosh karne lage
taaki ye yoddha aapas mey ek-doosre ki jaan naa le le. Kuch dair baad,
aakhirkaar behosh 98 yoddhao kay beech 2 yoddha bache thay......ab aamne
saamne thay Vinay aur Dhruva. Sthiti se nipatne ka ab dono ko koi
raasta nazar nahi aa raha tha. Kisi ek kay haarne ka matlab hoga ek
kabile ka peene kay paani se vanchit ho jaana.
- Mohit Sharma (Trendy Baba)
3D Dhruv by Yogesh Sharma (helpline3D.com)
No comments:
Post a Comment