Trendy Baba's lucky saved works from defunct websites, forums, blogs or sites requiring visitor registration....
अंतरजाल की दुनिया और जीवन में मोहित शर्मा 'ज़हन' के बिखरे रत्नों में से कुछ...
Monday, May 27, 2013
Internet Bhoot
Ek naye FB gropu par ye post daali thi. -
"Bhoot,
Aatma kya online...phone ya internet k zariye bhi travel kar sakte hai?
Aakhir ye bhi to signals pahunchane k mediums hai..."
Jispar kuch mile jule replies aaye. Uske baad maine ye baaten likhi...
Aap
logo ko ek doosra perceptive batata hun...maan lijiye kisi mare bande
ka Wikipedia page, memorial website, blog etc...ab uspar uska koi die
hard fan roz aata hai, us se judi baaten update karta hai dhoond-dhoond
kar to ho sakta hai wo aatma usko internet
k through trace karke us se milne ki koshish kare....ya ek ulta case
koi kisi mare vyakti ka naam lekar uski jagah jagah burai kare, defame
kare, galiyan de tab bhi...internet k zariye travel na sahi par aatma us
bande ko aur uski location trace to kar sakti hai....hmmmm?
Actually,
abhi jo socha aur jiski wajah se ye post likhi wo Idea ye hai ki ek
high profile political parivaar ki nirmam hatya ho jati hai...to hatya
karne waale shooters to pakde jaate hai par jisne shadyantra racha tha
uski pehchaan nahi ho paati. Us family
ko justice dilvane k liye ek website banti hai to us website k server
mey aur unse related jitni bhi online news reports k weblinks par us
ghar k logo ki aatmaon ki barabar nazar rehti hai jahan wo apne asli
hatyare tak pahunchte hai. 2 log aese hote hai jinhone un logo ki death
se related weblinks, sites sabse zyada aur baar-baar visit kiye
the....to ek to unki party ka tagda supporter/fan hota hai jo is baat ko
maanne ko taiyaar nahi tha...wo innocent hota hai aur jo doosra banda
hota hai wo asli villain nikalta hai jo ek financial firm aur private
banks ka maalik hota hai jinke lagataar ghaate mey chalne ki wajah se ye
parivaar us bande k bailout (aarthik sahayta aur niyamon mey riyayat) k
khilaaf tha...
No comments:
Post a Comment